Ek dafa Hazrat Mousa (Alaih Salaam) nay Allah say kaha ke kiya achaa hota agar chaar cheezain hotin aur chaar na hotin ...

Ø Zindagi hoti Mout na hoti,
Ø Jannat hoti Dozakh na hoti,
Ø Ameeri hoti Gareebi na hoti,
Ø Tandurusti hoti Bemari na hoti....

Gaib say awaz aayee Aey Mousa!
Ø “Agar Zindagi hoti Mout na hoti tu mera deedar kaisay hota..
Ø Agar Jannat hoti Dozakh na hoti tu meray Aazab say kon darta ..
Ø Agar Dunya main Ameeri hoti Gareebi na hoti tu mera Shukar kon ada kerta..
Ø Agar Tandurusti hoti Bemari na hoti tu Mujhay Yaad kon kerta ..... “

Jab yeh batain Hazrat Mousa nay suni tu kaha Aey Allah!Beshaq teray har kaam main koi na koi Hikmat zaroor hoti hai....