muhabbaten shumaar karne ki hamen b aadit hoti thi
kisi ka bohat intizaar karne ki hamen b aadit hoti thi

kisi din jab akalay mein guzertay thay wo galion se
raah mein nazren bichaane ki hamen b aadit hoti thi

kharay ho kar dreechay mein makan k saamne us k
masti mein roz gungunane ki hamen b aadit hoti thi

har roz shaam dhalay suraj k doob jaane k baad...
chhat se muskraa k lout aane ki hamen b aadit hoti thi

raaten guzerti theen haseen sapno k aangan mein
karwat karwat yaad karne ki hamen b aadit hoti thi

talooh-i-subah ka intizar kabi sonay nahi detaa tha
raat bhar jaagtay rehne ki... hamen b aadit hoti thi

kisi ki yaad ki tumaazit se pighaltaa tha badan sara
aesay haseen masroor jazbay ki hamen b aadit hoti thi

ghar se bahir dourh k jana bahir se phir lout aana
is tarha lamhay tumam karne ki hamen b aadit hoti thi

Jaa chukaa hai ab to wo is be-naam zindagi se.....
warna to bat bat pe muskrane ki hamen b aadit hoti thi

apne he ghar mein qaid hoon waqat ki zanjeeron mein
yoon he be maqsad phirne ki hamen b aadit hoti thi

Tamanna wo tamanna hai jo dil ki dil mein reh jaey
har cheez ki tamanna karne ki hamen b aadit hoti thi

Be-chain hoon mein kis had tak tere bagair jana.....
jaan boohj k piyar chuppane ki hamen b aadit hoti thi

dil jala, ghar jala, jaltay hoovay armaan lagtay hain
har ik deewaney pe hasney ki hamen b aadit hoti thi

tum pas hotay thay to lagta tha zakhmon pe marham
har kisi se zakham chupane ki hamen b aadit hoti thi

amjadshafiq***********