Results 1 to 12 of 15

Thread: 10 basic computer tips

Threaded View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Mukhtar Rind's Avatar
    Mukhtar Rind is offline Advance Member
    Last Online
    16th March 2023 @ 04:43 PM
    Join Date
    25 Aug 2013
    Location
    Balochistan
    Age
    28
    Gender
    Male
    Posts
    1,468
    Threads
    70
    Credits
    95
    Thanked
    254

    Default 10 basic computer tips

    Agar pehle se share howa ho to us keliye sorry Computer ko hamesha properly ‘shut down’ karen.
    Hafta main kam se kam aik martaba anti virus zaroor run karen.
    Apni Files ka USB ya CD per backup lete rahen – rozana ya phir kam se kam hafta main aik martaba
    Internet istemal karte howey ehteyat se kaam lain, aur agar aap koi online cheez khareedna chahte hain tu iss bat ka khas kheyal rakhen ke who site jehan aap purchase kar rehe hain iss maqsad ke leye safe hai. Bachon ke internet istemaal par bhi nazar rakhen.
    Apne login per password laga kar rakhen- aur yeh information kisi ghair-mutaleqa banday se share na Karen. Password bohat asan nahin hona chahye. Neez koshish karen ke mukhtalif sites k liye mukhtalif password ho.
    Computers bohat c heat kharij karte hain, jis ko nikalne ke leye computer main aik fan hota hai. Fan ko hamesha saaf rakhna chahye aur yeh baat yaqeeni banaen ke uss per gard na ho. Iss maqsad ke leye blower istemal keya ja sakta hai. Ya phir computer khoal kar kabhi kabhar fan zaroor saf Karen. Fans aam tou per CPU ke case ke back side ya laptop ke neeche hotey.
    Apne computer ko waqtan fawaqtan ‘defragment ‘ karte rahen – ‘Defregment’ ki common StartÃ* AccessoriesÃ* System Tools main hoti hai.
    Short cut keys aap ke kaam ko asaan kar deti hain. Aham short cut keys ko note kar lain.
    Bohat se achay software free dasteyab hotey hain, jo apke computer aur kaam ki karkardagi ko behter bana sakte hain
    Ajkal bohat c maloomat online dastayab hoti hain. Agar koi bhi mushkil pesh aye tu internet per search Karen.
    Yeh woh chand basic computer tips hain yo computer ke har sarif ko maloom honi chahyen. Umeed hai apko hamari yeh basic computer tips jo ke Urdu main pasand aai hongee.
    Last edited by Sahil_Jaan; 18th May 2014 at 08:03 AM.

Similar Threads

  1. What is MICRO COMPUTER....For Basic Learners
    By HEEERAN in forum Computer Articles
    Replies: 14
    Last Post: 27th February 2016, 10:22 AM
  2. Replies: 0
    Last Post: 20th September 2011, 12:35 PM
  3. 12 Tips to Maintain a Virus Free Computer
    By hack3r in forum English IT Zone
    Replies: 17
    Last Post: 2nd June 2011, 08:08 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •