Salam:
dosto aj to meri help karna ap ka faraz hai.kiu k ye aik serious aur dangerous problem hai.is problem ki waja se main apne pc se boht tang agaya hu.
To dosto
masla yeh hai aj se 3 din pehley mene virus scanning ki (via avast!)mujhey virus ka bohat bara dhair mila.mene autofix kr ke dobara scan kiya to phr vahi viruses aa gaye.itne mein mera pc restart ho gaya. Phr restart ho gaya aur itna hua k main ginti b nahi kar paya.mene socha k shayd poori hard drive mein attack ho chuka hai to mene foran win7 ki disc ke through poori hard drive ko formate kar diya.lekin na to win7 instal ho saki aur na hi win8.
Phr meiney xp ko instal kar liya.
Lekin yaro
mera masla khatam nahi hua.
Wahi restart restart restart...............
Mujhey koi aisa tariqa btao k is kam bakhat restart se jan chhoot jaye.
Aur ye b bta den k win8 expanding windows files par 45/ honey ke bd stop kiu ho jata hai.
Pc info:
dell optilex gx 280
RAM: 1 Gb
Hard Disc: 80 GB
Processor: 3 gigahertz
intel pentium 4