un ka ghar Kacha tha.Barishon ka weather aata tu ghar kae jaga se Tapkinay lagta,Dewareen kharab hojateen.Wo har saal us ke Marmat karaty.Un ka ek bohat he honihar student tha....

Ed din us nay apnay Teacher se kaha.......
Teacher g:Aap har year Ghar ke marmat karaty hain.Iss tarh har year Pessay bhi kharch hotay hain aur Time bhi waste hota hai,Ise se tu bahtar hai k aap ghar ko paka banwaleen....Allah Ta'ala nay aap ko itne taqat tu de hai.Iss tarh aap har year kharach karnay se bhi bach jaeen gay.....

Teacher nay Student ke baat sune tu bolay...Wah Wah!!
App nay kese Aqul wale baat ke......."Hum nay tu sare Umar guzarde,Borhay hogaiy aur ye baat samjh na aae"......

Teacher nay jab baar baar ye alfaz repeat kiye tu student bohat sharminda hokar bola....Main tu ye baat iss liye kah raha hon Sir k aakhir ghar ko Pakka na karanay main kiya Hikmat posheeda hai?Mujhay bhi woo hikmat Malooom hojaye..tu Teacher nay kaha!!!!!Theek hai ,Aaooo main aap ko Batata hoon...Ye kah kar Student ka hath pakra aur ghar ke Darwazay par lay aaye...Phr kaha k :...Dekho! iss Gale main Daen Baen,Aagy pechay koe Ghar pakka nazar aata hai?
Student bola:::je Nhn::....Ab Teacher nay kaha,Meray saray parosyun k ghar kachay hain....Gale main akela main paka ghar banwata tu kiya acha lagon ga..Itne taqat mujh main nhn hai k Tamam parosyun k ghar Pakay banwa sakon...Ise liye main nay apna ghar paka nhn banwaya k meray Parose Ahsas e Kamtare ka shikar na hon.....

Ab aap ko ye bhi bataden k ye Teacher thay jin ka name Molana Saeed Asghar Hussain aur Stnudent ka name Hazrat Molana Moh Shafi....