Aslamualikum!
Sab sy pehly faut hony walon k liyay Fatiha par ker unki maghfirat ki dua karty hain. May their soul rest in peace aur Allah unky azeez-o-aqarib ki sabr-e-jameel atta farmay. Aamin
Aj phir kisi k ghar ka chirag bujh gaya, bachy yateem ho gaye, auratain bewa ho gaye aur kitni maon (mothers) k laal, behnon k bhai maut ki neend so gaye. Kitny aankahin purnam hain, dil zakhmi hain aur aik sawal k aisa kab tak? Aisa kab tak?
Bujh gaye kitny gharon kay chirag aj
Aj phir kisi ka ghar matam kada bana hy!
Jo aaj hua aisa kai dafa ho chuka hai. Hamesha ki tarha aik sawal k aakhir kaun hy wo jo zindagyun ki tajarat kar raha hai. Jiska dil is tarah karty huay larzata nahi hai, jo ye nahi sochta k us bheer main usky apny azeez bhi ho sakty hain. Aisa karny wala Musalman to nahi ho sakta han insaniyat ka qatil zarur ho akta hy jiska dil mar chuka hay aur us dil k sath usny apny zameer ko bhi dafan kar lia hay. Ham ye nahi keh sakty k bahar sy koi aa kar ye sab kar raha hy. We all know very well the person who is doing this type of tasks & why he does so we also know. Jab apny mulk main hi apny bhayun ko khatam karny waly log majud hain to bahar sy kisi ko hamain khatam karny k liyay zayada taradud nahi karna pary ga. Main aik surat ka hawala dena chahun gi,
jesa k Sureh Alhajraat main hai, “agar ahl-e-imaan main sy 2 groh (groups) aapas main lar jain to in k darmian sulah karao. Phir agar in main sy 1 groh dusry per zayadti kary to zayadti karny walon k sath laro yahan tak k wo Allah k hukam ki taraf palat aai to in k darmian sulah kara do aur insaaf karo k Allah insaaf karny walon ko pasand karta hy”.
yahan aik aisa giroh lar raha hy jisky bary main pata hi nahi haik wo kyu itna ghalat kaam kar raha hy uski dunya bhaly hi faida ho magar aakhrat uski aziyat naak ho gi. kaash wo ye baat jaan ly! 
Main is sy zayada kuch nahi ke paon gi, mery paas alfaaz nahi hain k main apna dukh bayan kar sakun. Allah ham per reham kary aur insaniyat k dushmano ko aqal aajai taky wo maut ka karobaar band kar dain. Aamin
Allah aapko sab ko apny hifz-o-imaan main rakhy aur jahan rahain abaad rahain. Aamin. Shukriya
Duaon ki talabgaar
Zara