SALAAM
Jab usb ko safely remove karnay k liay icon par right click karatay hain to to safely remove ka option ata hai jis par click karnay se USB safely remove hojati hai. magar meri USB k saath problem hai k jab mai icon par right click karta hun to safely remove ka option ata hai jis par click karnay se aik window open hoti hai jis main USB removable drive hoti hai jis ko stop karnay se aik aur window open hoti hai jis ko stop karnay se USB safely remove hota hai. magar prob yeh hai k main apni University ki lab main jab USB safely remove karna chahta hun to error message ata hai k you cannot so this operation contact your administrator. to is liay meri usb safely remove nahi hoti aur mujhay aise he USB nikalni parti hai.
kia is ka koi hal hai k jab main USB safely remove karu to aik aur window open na ho aur direct USB safely remove hojey????
Please Help me

ALLAH HAFIZ
Thanks in advance