My Collection of "MAA poetry"........
Mujhko ab bhi yaad hain wo saari ammi ki baatein
Daantna mujhko baat baat par, pyaar ki wo barsaatein
Khailna merey saath saath aur phir padney ko kahna
Meri khushiyon ki khaatir abbu se ladtey rahna
Meri gustaakhi pe unka zor se wo jhallaana
Abbu ke aaney par unko kuchh bhi na batlana
Thaam ke ungli meri mujhko bahar lekar jaana
Seedha rasta kya hota hai ye mujhko samjhana
Pyaar se mujhko paas bithaa kar sar pe tail lagaana
Phir kahna ki beta dekho kaam sabhi ke aana
Dekho beta geebat gussa achchi baat nahin hai
Ye sab kaam galat hain betey aur ye kaam sahi hai
In kaamon ko karke tum achchey insaan banogey
Is rastey par mat chalna warna beimaan banogey
Paisey ka izzat ke aagey koi mol nahi hai
Bhool na jaana ye baatein jo mainey aaj kahi hai
Mujhko ab bhi yaad hai wo saari ammi ki baatein
ma...its raining again
i know u are not here
near me
by my side.
yet
i know
u are with me..
always
every moment
each day..
ma.. i know u feel the pain
thats troubling me inside
and u also know
how i am getting choked..
ma.. i wish to hold ur hand once again..
to sleep in ur lap..
i wish to feel ur tender kiss on my forehead..
ma..i want u to wash the tears
that rain from my eyes..
ma.. hold me once again
the way u often did when i was crushed and burried alive
by this world..
just for once.. let me hear
how much u care for me...
how much u miss me..the way i do..
ma. i need u..
not just at this moment
not just at this hour
not just toady....
i need u
each ticking by moment..
i need u each day that comes my way
i seek u..throughout my life...
i need u...forever..ma
Chotay thay,Maa uplay thapa karti thi,
Ham uplo par shaklien goondha kartay thay,
Aankh laga kar, Kaan bana kar naak saja kar,
Pagdi wala,topi wala,mera upla,tera upla,
Hasta Khelta Suraj roz sawairay aa kar,
Gober ke uplo per khaila karta tha,
Raat ko aangan me jab chulha jalta tha,
Ham saray chulha ghar kay agay baithay rahtay thay,
Kis uple ki bari aai??? kis ka upla raakh hua???
Wo pandit tha, ek dashrukh tha,ek munna tha,
Barso bad shamshan mien baithay soch raha hoon
Aaj ki rat waqt ke jaltay chulhay mien
"Ek dost ka upla aur gaya"
Mout Ki Aaghosh Main Jab Thak Kai Soo Jati Hai Maa
Tab Kaheen Ja Kar Sukoon Thora Sa Pa Jati Hai Maa
Fikr Main Bachoon Ki Kuch Is Terha Ghul Jati Hai Maa
Nojawaan Hotay Huwe Budhe Nazar Aati Hai Maa
Rooh Kai Rishtay Ki Yeah Gehrayean To Daikheye
Choot Lagti Hai Humaray Aur Chillati Hai Maa
Kab Zarurat Ho Merai Bachay Ku Itna Sooch Kar
Jaagti Rehti Hain Aankhain Aur Soo Jati Hai Maa
Hudiyoon Ka Ras Pila kar Apnay Dil Kai Chain Ku
Kitnee Hi Ratoon Mai Khali Pait Soo Jati Hai Maa
Janai Kitne Barf Si Ratoon Mai Aysa Bhi Hua
Bacha To Chaati Pai Hai Gelay Main Soo Jati hai Maa
Jab Khilonai Ku Machalta Hai Koie Ghurbat Ka Phool
Aansoon Kai Saaz Par Bachay Ku Bhailati Hai Maa
Fiker Kai Shamshaan Mai Aakhir Chitaoon Ki Terha
Jaisai Sookhi Lakreyaan, Is Terha Jal Jati Hai Maa
Apnay Aanchal Sai Gulabi Aansuoon Ku Poonch Kar
Dair Tak Gurbat Pai Apne Ashk Barsati Hai Maa
Samnai Bachoon Kai Kush Rahti Hai Her Ik Haal Main
Raat Ku Chup Chup Kai Lakin Ashk Bersati Hai Maa
Haan Jism To Hota Hai
Magar Jaan Nahi Hoti
Wo Ghar Bhi Koi Ghar Hai
Jahan Maa Nahi HotiPhailay Bachoon Ku Kheelati Hai Sukoon-o-Chain Sai
Baad Mai Jo Kuch Bacha Oh Shouk Sai Khati Hai Maa
Mangti Hi Kuch Nahi Apnai Leye ALLAH Sai
Apnai Bachoon Kai Leye Daman Ku Phailati Hai Maa
Gar Javan Baiti Ho Ghar Main Aur Koie Rishta Na Ho
Ek Naye Ehsas Ki Suli Pai Char Jati Hai Maa
Har Eebadat Har Mohabbat Mai Nihan Hai Ek Gharz
Be-Gharz, Be-Loos, Har Khidmat Ku Kar Jati Hai Maa
Bazuwoon Mai Kheench Kai Aajaye Gi Jaisai Kayenat
Apnai Bachay Kai Leye Bahoon Ku Phailati Hai Maa
Zindagani Kai Safar Mai Gardishoon Ki Dhoop Mai
Jab Koie Saya Nahi Milta To Yaad Aati Hai Maa
Pyar Khaitai Hain Kisai Aur Mamta Kya Cheez Hai
Koie Un Bachoon Sai Poocheye Jin Ki Mar Jati Hai Maa
Safa-e-Hasti Pai Likhti Hai Usool-e-Zindagi
Is Liye Ek Muktab-e-Islam Khailati Hai Maa
Us Nai Duniyan Ku Deye Masoom Rahber Ise Leye
Azmatoon Mai Sani-e-Quran Khailati Hai Maa
Ghar Sai Jab Pardesh Ja Ta Hai Koie Noor-e-Nazar
Haath Main Qur'an Lai Kar Dar Pai Aajati Hai Maa
Dai Kai Bachay Ku Zamanat Main Raza-e-Pak Ki
Peechay Peechay Sar Jhookaye Door Tak Jaati Hai Maa
Jab Perayshani Mai Ghar Jatai Hain Hum Pardesh Main
Aansuwoon Ku Poonch Nai Khawaboon Main Aajati Hai Maa
Dair Ho Jati Hai Ghar Aanai Main Aksar Jab Hamain
Rait Per Machle Ho Jaisay Aisay Ghabrati Hai Maa
Martai Dam Tak Aasaka Bacha Na Ghar Pardesh Sai
Apni Donoo Putliyaan Chokhat Pai Rakh Jati Hai Maa
Baad Mar Janai Kai Phir Baite Ki Khidmat Kai Leye
Bhaise Beti Ka Badal Kar Ghar Main Aajati Hai Maa
Door Ho Jati Hai Sari Omer Ki Us Dum Thakan
Bayha Kar Kai Betay Ka Jab Ghar Bahu Lati Hai Maa
Hamari dekhbhal ke liye khuda ne,
Bade hi pyar se ek pyari cheez banayi hai.
Jab bhi aansu aaye aankhon mein meri,
Unhe ponchhane sabse aage maa hi aayi hai.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Dhoop me chalta to aanchal se chaanv karti,
Mujhe chaanv dekar vo khud dhoop me jalti.
Pyar karti hai vo hame bepanah,
Surat uski kitni bholi bhali hoti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Har par hame usne khushi aur sukh diya,
Badle me hamse aansuon ke siva kuch na liya.
Dukh diye hai humne unhe kitne hi,
Vo unhe bhi to chupchap sahti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Aaj use kya ho gaya hai e khuda,
Kyon use fever bhi aaya hai e khuda.
De de tu uske saare gum mujhe,
Maa ka karz to santaan hi bharti hai na,
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Dar pe tere hazar diye jalaunga,
Maa ko kabhi pir na sataunga.
Abhi man nahi bhara hai uske pyar se mera,
Maa ki zarurat to e khuda sabhi ko hoti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Kyon aaj chup chap leti hai vo mujhse bina baat karke,
Aaj kyon nahi bolti vo mujhse mujhe yaad karke.
Uski har mushkilon ko usse pahle mein milun har bar,
Maa ke bina kisi ki zindagi nahi kat-ti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Meri har khushi aaj mujh se le le tu,
Par badle me meri maa mujhe de de tu.
Meri tanhaeyon ka aur koi sahara nahi,
Maa kisi ko bar-bar nahi milti hai na.
Hamare gum me vo aaj bhi roti hai na,
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Meri maa mujhe de de tu.
Kyon ki maa to maa hoti hai na.
Aghr ap sb bhi maa per poetry share krna chahte hain to most welcome........
Bookmarks