Yon phir raha hai kanch ka pekar lie hoe,
Ghafal ko ye gaman hai k pathar na ae ga.
¡*
Yon phir raha hai kanch ka pekar lie hoe,
Ghafal ko ye gaman hai k pathar na ae ga.
¡*
Koi har gya koi jeet gya,
ye saal b akhir beet gya..!
Kabi sapny sjaye ankho me
kbi beet gae pal baton main,
kuch talkh sy lamhat b thy,
kuch hadsy aur sadmat b thy,
kuch berukhi kuch becheni,
kuch mun main simti weeraani.
Kuch lamhe thy yadgaar bht,
kuch lamhon ko brbaad kia..
Per ab k baras,
RUB se dua ha ye ,
koi pal na apka udas guzry,
koi rog na apko raas guzry,
ap pholon ki trha khila kreyn,
koi shakhs na ap se gila kry,
ap khush rho abad rho,
apka khwab ngar abad rhy,
ap jo chahy wo ho jay,ap jo mango wo mil jay,
apki maf wo hr ik khata kry,
apko asey hi Rab ata kry.
AMEEN.
Khudaa Humko Aisi Khudaayee Na De
Ke Apne Siwaa Kuch Dikhaayee Na De
Qataawaar Samjhegi Duniyaa Tujhe
Ab Itni Ziyaada Safaayee Na De
Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahut
Qalam Cheen Le Roshnaayee Na De
Khudaa Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhaayee Na De
(Qataawaar = Guilty )(Roshnaayee = Ink)
…
Dunia Ki Har Fiza Mein Ujala RASOOL Ka,
Ye Sari Kainaat Hai Sadqa RASOOL Ka,
Khushboo Gulab Hai Pasina RASOOL Ka,
AapKo Mubarak Ho Mahina RASOOL Ka..
Rabi-ul-Awal Mubarak…
…
Mohabbat Kis Se Ki Jaye . .?
Duniya Se .?
Ye To Rulaati Hai .
Phoolon Se .?
Ye To Murjhaa Jaate Hain .
Paise Se .?
Ye To Rishte Torta Hai .
Bulaandi Se .?
Ye To Mun Ke Bul Giraa Deti Hai .
Khushi Se .?
Ye To Waqti Tor Ki Hoti Hai .
Logon Se .?
Ye To Bewafa Hote Hain .
To Phir Akhir Mohobbat Kis Se Ki Jaye. .?.
.
.
.
MUHAMMED (S.A.W.W.) Se . . .
Jo Us Din Bhie Saath Nibhaein Ge Jis Din Maa Baap Bhie Apni Awlaad Ko Bhool Jaein Ge. . . .=)
Sub’Haan’ALLAH. . . =’)?
Beeta hai jo mere upar
Apne pyare nabi ko sunaon ga
Darood partha hua jab mein madine jaoga
Rootay rootay apna haal sunaao ga
Jab un kay qadam mubarak ki jali ko haath lagao ga
Namaz parnhay jab masjid e nabwi jaon ga
Apney ap ko un kay hawalay dey kar ayo ga
Ae kash mujhe mout a jaye
Yeh kah kar un ki chohkat say lout jayo ga
Apnay gunaho ko bakshavnay kay liye
apne dil ko azmnay kay liye dey ao ga
apni rooh ko sambhal jane kay liye
Apnay aqa kay mazaar par ja kar
Maafi mango ga apni har hatha par
Qali qameli wale ko batao ga apne khaalat
Kia kia beeti hain uski umaat kay
opaar unkay bichaar janay kay baad
Apni chahat ka izhaar karnay kay liye
Aaqa ka deedar karnay kay liye
So jaon ga unki chohkat par
Maafi ki talaab kay liye
Elahi aabru rakhna bara nazuk zamana hai,
Dilon mein kufr rakhtay hain bazahir dostana hain..
Hijr Ki Shab Mein Qaid Karay Ya Subha Visaal Mein Rakhay
Acha Mola ! Teri Marzi Tu Jis Haal Mein Rakhay
Khail Ye Kaisa Khail Rahee Hai Dil Se Teri Mohabbat
Ik Pal Sarshaari De aur DinoN Malaal Mein Rakhay
Mein Ne Saari Khushbooain aanchal Se Baandh Ke Rakheen
Shaayad In Ka Zikr TU apnay Ksi Sawaal Mein Rakhay
Ksi Se Tere aanay Ki Sargoshi Ko Suntay Hee
Mein Ne Kitnay Phool Chunay aur apni Shaal Mein Rakhay
Mushkil Bun Kar Toot Padi Hai Dil Per Ye Tanhai
aB Jaanay Ye Kub Tak Isko apnay Jaal Mein Rakhay

Khuda aisay Ehsaas ka Naam hai,
Rahay Samnay aur Dikhaai na day !
…
Khuda aisay Ehsaas ka Naam hai,
Rahay Samnay aur Dikhaai na day !
…
Khuda ko Bhool Gaye Log Fikar-e-Rozi Main,
Talaash Rizq ki Hai “RAAZIQ” ka Khayaal Nahi…..!!
Bookmarks