bhai woh website bataya karo itdunya k members ko jis ma investment na karni paray ore koi online working kar k unko kuch mil jay yeh investment karna har kisi k bass ki baat nahi hoti ore agar koi investment kar b day to ho sakta ha uski investment hi doob jay ore woh b usko wapas na milay, profit to door ki baat
meray apnay 50$ pakistani 5 hazar aasi hi eik site creatinv.com doob gay profit k chakar ma ab toba kar li ha k aasi sites par kabhi invest nahi karna jo is tarah ki hain k invest karo to profit milay ga, agar investment karna hi ha to Real Life ma kisi Real business ma invest karo lakin internet par na invest karo faiday k bajaay ulta nuqsaan hoga, is say behtar ha k banda apni shop khol lay us par invest kar day lakin aasi sites par invest na karay is tarah ki sites logo ko lalach dayti hain k itna invest karo to is par itna profit hoga ore agar eik / 2 baar profit day b dain to teesri baar banda lalach ma aa jata ha k pehlay itna invest kiya to profit mila ore ab me ore zaida invest karo ga to profit b zaida milay ga ore woh phir zaida invest kar dayta ha to phir website band ho jati ha ore logo k paisay doob jatay hain zaida k chakar ma thoray say b jatay hain, is lia behtar ha k aasi sites say door hi rahain to acha ha, baki ap logo ki apni marzi, me nay to jo sachi baat thi woh bata di ap logo ko ok ALLAH HAFIZ
ap k 600$ jo k pakistani 60 hazar rupay say thoray ooper bantay hain agar profit mil gaya is par to theek, lakin koi gurranty to nahi na k lazmi profit hi milay ga is par ? ore agar khuda na khuwasta yeh website band ho gai ore apki raqam doob gai to ho sakta ha ap yeh nuqsaan bardash kar lain, lakin zaida tarh itdunya k gareeb users muje jaisay woh nahi bardash kar saktay yeh baat k unki raqam doob jay
earn lote of money
PLEASE CLOSE THIS THREAD
nice thread ever
Ok
Bookmarks