Assalam o alaikum dosto . kese hain ap sab .
Is post mai main apko aj turing phone cadenza ke bare main btaon ga.
Dosto Turing robotics ne aik naya smartphone bnaya hai jis ki specification aur durability ka koi muqabla nahi kar skta.
Dosto is smartphone ki screen 5.8 inch hai aur resolution 1440x2560 hai
Is main dual snapdragon 830 processors lage hain jin ke total 16 kyro cores hain . ji han 16 core wala mobile.
Iski ram 12gb hai aur internal memory 1TB hai yani 1024gb .
Back camera iska 60 megapixel hai jo ke 6k imax video record karne ki salahiyat rakhta hai
Front cam bhi 20 megapixel hai
Iski body liquid metal 2.0 se bnai gayi hai jo ke bhot mazboot metarial hai .
Yahan mai doston ko btata chalun ke ye dunya ka sab se pehla smartphone hai jis mai artificial intelligence mojud hai yani ke ye mobile seekhne ki salahiyat rakhta hai
Is main swordfish Os installed hai jo ke ab tak ki sab se secure operating system hai.
Fingerprint scanner aur retina scanner bhi hain is main.
Battery:
Dosto jesa ke apne upar parha hai ke is smartphone main 12 gb ram aur 16 core processor hai to ye bat to zehn main ai hi hogi ke itne powerful smartphone ko power kese mile gi.
turing ne bhi yahi socha aur sochne ke bad is main triple power battery install ki.
2400mah graphene supercapacitor battery + 1600mah li ion battery with hydrogen fuel cell.
is kism ki battery aj se pehle kisi smartphone main istmal nahi hui hai.
battery ki total power 100wh hai.
Connectivity:
turing phone cadenza main ap 4 nano sims aik sath use kar skte hain
is main state of the art 4g voLTE dala gaya hai jo ab tak ka sab se fast network speed hai.
Is ke ilawa is main Wifi ki jaga WIGIG dala hai.
wigig wifi ka upgrade version hai jis main ap ke wifi ki speed 1Gbps hogi.
turing phone Cadenza ne market main aake ye bata diya ke future kya hoga aur barhi barhi companies jese ke samsung aur iphone ko hila ke rakh diya
To doston kesa laga ye thread.
Agar is ka complete detailed review parhna hai to neeche link par jaen.
http://www.humptechtips.com/2017/04/...d-reviews.html
Bookmarks