Last edited by Shaheen; 18th January 2007 at 01:43 PM.
Pooch Lo Tum Bhi Iss Zamaane Se,
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se
Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se
Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.
Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.
Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.
Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane se
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi
Han chalo jhoot sahi wahday wafa ho jatay
Yoon bichadtay k mairay lab py dua ho jatay
Kiya zaroorat thi zamaanay ko khabr karny ki
Ghar jalana tha to chupkay say diya ho jatay
jidher bhi jaoon nazar mein us ka chehra rahta hai
wo mere dhiyan ke sabhi raastoon mein rahta hai
bicharh kar us se pereshan mein to hoon
par suna hai wo bhi uljhanoon mien rahta hai
seena dehek raha hai to kya chup rahe koi.
kyoon cheekh cheekh kar na gala cheel le koi.
saabit hua sukoon e dil o jaan kaheen nahi.
rishton mai dhoondta hai to dhoonda kare koi.
haan theek hai mai apni anaa ka mareez hoon.
aakhir mere mizaaj mai kyoon dakhl de koi
tark-e-muhabbat par bhii hogii un ko nidaamat ham se ziyaadaa
kis ne kii hai kaun karegaa un se muhabbat ham se ziyaadaa
hamane maanaa aap me.n hogii sabr kii taaqat ham se ziyaadaa
dekhiye lekin utarii hui hai aap kii suurat ham se ziyaadaa
uff vo tabassum halkaa halkaa haaye vo bhiigii bhiigii palake.n
vaqt-e-ruKhsat un pe giraan thaa lamahaa-e-ruKhsat ham se ziyaadaa
koi tamannaa koi masarrat dil ke qariib aane hii na dii
kisane kii hai ishq mein yaaron Gam se muhabbat ham se ziyaadaa
achchhii suurat vaale saare patthar-dil ho mumkin hai
ham to us din raaye denge jis din dhokaa khaayenge
tere baare mein jab sochaa nahiin thaa
main tanhaa thaa magar itanaa nahiin thaa
terii tasviir se karataa thaa baaten
mere kamare mein aaiinaa nahiin thaa
samandar ne mujhe pyaasaa hii rakhaa
main jab seharaa mein thaa pyasaa nahiin thaa
manaane ruuthane ke khel mein ham
bichhar jaayenge ye sochaa nahiin thaa
sunaa hai band kar li us ne aaNkhen
kaii raaton se vo soyaa nahiin thaa
vo Khud nazar aate hain jafaaon pe pashemaaN
kyaa chaahiye aur tum ko "Shakeel" is ke sivaa aur
Rat bher tanha raha din bhrer akaila main hi tha.
Shaher ki aabadiyon mein apne jaisa main hi tha.
Main hi dariya,main hi toofan,main hi tha her mauj bhi.
Main hi khud ko pi gaya sadiyon se pyasa main hi tha.
Kis liyy katra ke jata hai musafir dam to le.
Aaj sookha pairr hoon kal tera saya main hi tha.
Meri dhadkan sunne wala dil na tha dunia ke pas
Sab ki aahat, sab ki dadkan sunne wala main hi tha
Kitne jazbon ki nirali khushboein theen mere paas.
Koi un ko chahne wala nahin tha main hi tha
tere qadamon pe sar hogaa qazaa sar pe khari hogii
phir us sajde kaa kyaa kahanaa anokhii bandagii hogii
nasiim-e-subah gulashan mein gulon se khelatii hogii
kisii kii aakharii hichakii kisii kii dillagii hogii
dikhaa duuNgaa sar-e-mahafil bataa duuNgaa sar-e-mahashar
vo mere dil mein honge aur duniyaa dekhatii hogii
mazaa aa jaayegaa mahashar mein phir sunane-sunaane kaa
zubaaN hogii vahaaN merii kahaanii aap kii hogii
tumhen daanistaa mahafil mein jo dekhaa ho to mujarim
nazar aaKhir nazar hai be-iraadaa uTh ga_ii hogii
Bookmarks