![]() |
|
|
|||||||
![]() |
|
|
Thread Tools | Display Modes |
|
#1
|
|||
|
|||
|
Assalamoalikum
Umeed hay app sab ahbaab ba khairo afiyath hongay Ajj say may inshaAllah namaz say muutalik FAZAIL pay muushtamil ahadees yahan share kerna start ker raha hoon jis ko koshish ker k roz update kiya karon ga. Souce hay Hazrat Shaikh ul Hadees Molana Mohammed Zikriya Kandhalvi Sahab(ra) ki mashoor zamana Kitab FAZAIL AMAAL.... Allah say dua hay k humay amaal kernay ki taufeek day aur saat saat deen ki mehnat ko poori duniya may layker phirnay wala bana day ameeen. Wasalam Ather Hadees No-1
Hazrat Abdullah Bin Umer(ra) Hazoor(saw) ka irshaad naqal kertay hain kay Islam ki buniyaad 5 saatoono pay hay sab say awal Kalima "La ila ha ill lal lah Mohammed ur raso lol lah ki gawahee dayna yani Allah k seewa koi ibadat k laiq nahi aur Mohammed (saW) Allah k baanday aur Rasool hain, iss k bad NAMAz qaim kerna, Zakaat ada kerna, Haaj kerna aur Ramzan k rozay rakhna. |
|
#2
|
|||
|
|||
|
Masha ALLAH Athar bhai bohot acha silsila shru kiya hay aap nay ALLAH aap ko eis ka behtareen ajar ata farmaey aamin, carry on
|
|
#3
|
|||
|
|||
|
Allah amaal ki taufeek daay hum sab ko ameeen.
|
|
#4
|
|||
|
|||
|
Masha Allah...
Jazak Allah khair |
|
#5
|
|||
|
|||
|
mashallah achi sharing ha bhai
|
|
#6
|
|||
|
|||
|
Hadees-2
Hazrat Abu Zaar(ra) fermatay hain kay Aik Martaba Hazoor(saw) saardi k moosam may bahar tashreef laey aur paat'tay(leafs) daarakhtoo'n (trees) pay say geer rahay thaay App(saW) nay aik darakht ki tehni haat may li uss k paat tay aur bhi geernay lagay App(saw nay fermaya jab musalman banda ikhlaas k saat Allah k liya NAMAZ perhta hay tau uss k gunah aisay he gertay hain jaisay ya paat tay daarakht say geer rahay hain. |
|
#7
|
|||
|
|||
|
Hadees-3
Abu Usman(ra) kehtay hain kay may Hazrat Salman(ra) k saat aik daarakt(tre) k neechay thaa unho nay uss darakht ki aik khooshk tehni(Stem) pakar ker us ko herkat de jis say uss k paat tay(leafs) geer gaey, phir mujah say kehnay lagay k Abu Usman(ra) tum nay mujah say ya na poocha k may nay aisa kion kiya, may nay kaha k bata deejiya kion kiya unho nay kaha k may aik maartaba App(saw) k saat aik darakht(tree) k neechay thaa App(saw) nay bhi darakht ki aik khooshk tehni pakar ker isi tarah kiya jis say uss tehni k pattay jhaar gaey thaay phir App(saw) nay irshad fermaya thaa k Salman(ra) poochtay nahi kay may nay iss tarah kion kiya may nay arz kiya k bata deejiya kion kiya, App(saw) nay irshaad fermaya k jab musalman achi tarah wazoo kerta hay phir 5 waqt ki namazayn perhta hay tau us ki khaataeyn aisay he ger jati hain jis tarah ya paattay geertay hain, phir App(saW) nay Quran ki Ayat AKIMIS SALAH ..TARA FENNEEHAR tak talawat fermaey jis ka taarjooma ya hay k QAIM KER NAMAZ KO DIN K DOONO SEERO'N MAY AUR RAAT K KOCH HEESO'N MAY BAYSHAK NAIKIYAN DUUR KERDAYTI HAIN GUNAHOO'N KO YA NAEEHAT HAY NASEEHAT MAAN NAY WALOO'N K LIYA.. |
|
#8
|
|||
|
|||
|
mashallah achi sharing ha bhai
|
![]() |
| Bookmarks |
(View-All)
Members who have read this thread : 10
|
|
| Asifbaig09, attari_786, fari30000, farrukhilyas, Fasih ud Din, jahmad, musalman1, oioioioioi, rashidsagar, usman_ameen |
| Thread Tools | |
| Display Modes | |
|
|
Similar Threads
|
||||
| Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
| Molana Abdul Ghafoor Nadeem Shaheed ki Namaz-e-Janaza Ada krdi gayi!!! | MubashirDilawar | Halat-e-Hazra | 4 | 26th April 2010 12:33 AM |
| Kiya Aap Namaz-e-Juma Kay Fazail Jantay Han? | LoyalMuhammaden | Ibadat | 5 | 19th March 2010 12:11 PM |
| Fazail-e-Namaz | Doctor | Ibadat | 21 | 11th March 2009 12:09 PM |
| Ramadan Ke Fazail(Hadees) | Leon | Sunnat aur Hadees | 11 | 20th October 2007 06:21 PM |
| Quran ke fazail(hadees) | Leon | Quran | 8 | 14th October 2007 07:06 PM |