Results 1 to 7 of 7

Thread: PoetrySMS03 Archive(s)

  1. #1
    shahid786imran is offline Member
    Last Online
    7th February 2018 @ 06:27 PM
    Join Date
    06 Apr 2009
    Location
    Pakistan, Gujrat
    Age
    37
    Posts
    431
    Threads
    80
    Thanked
    17

    Default PoetrySMS03 Archive(s)

    wo ek shab jali to use shama kehdiya faraz
    hum barson se jal rahe hain hume koi to khitab do
    ----------
    kaat kar zuban meri keh raha tha woh FARAZ
    ab tumhe ijazat hai haal-e- dil sunanay ki
    ----------
    ab na woh main hun, na tu hai, na wo maazi hai FARAZ
    jesay do saahil tamanna ke SARABON main milay thay
    ----------
    baray wasoook sa dunya faraib deti hai
    baray khaloos sa hum aitabaar kertay hain
    ----------
    Aaj unse milne ko jee chahta hai
    paas beth kar baat karne ko jee chahta hai
    Itna haseen tha uska manane ka andaz
    Aaj phir rooth jane ko jee chahta hai
    ----------
    TUJHE PYAR MERA SATAYE GA AKSAR
    YADON K TOFAN UTHAYEGA AKSAR
    ZIKAR MERA KRNE SE PHLY
    TU KUCH SOCH K MUSKURAYE GA AKSAR
    MERA NAAM LIKH KR KITABON MAIN APNI
    TO LOGON K DAR SAY MITAY GA AKSAR
    ----------
    Jis Ki Qurbat main karaar bohat hai
    Us ka milna dushwaar bohat hai
    Jo Mere haathon ki Lakeeron main Nahin
    Usi Shaks se Hamin Piyaar Bohat hai
    ----------
    Yun na dekho nafrat bhari nigahon se Faraz
    dil mera kaanch hai toot ke bikhar jayega
    ----------
    Barbad karne ke or bhi raste the Faraz
    najane unhen mohabbat ka hi khayal kiyun aaya
    ----------
    MUJH KO AZMAANE KA NATIJA KIYA NIKLA
    ZAKHM-E-DIL NAZRO SE BHI GEHRA NIKLA
    TOR KAR DEKH HI LIYA TU NE MERE DIL KA AAYENA
    BATA TERI SURAT K SIWA AUR KIYA NIKLA
    ----------
    shab bhar tere mareez k yeh alam rha
    nabzon ph jis ny hath rakha kha kh bas
    ----------
    Ranjish hi Sahi Dil hi Dukhane k Liye aa
    Aa Phir se Mujhe chor K jane k Liye aa
    ----------
    Khud apne hi andar se ubharta hai wo mosam
    Jo rang bicha deta hai titli ke paron pe
    ----------
    Main bachpan k kisi lamhe me ruk kar
    koi jugnoo pakarna chahti hoon
    ----------
    Baysabab baat brhanay ki zarorat kia hai
    Hum Khafa kub they mananay ki zarorat kia hai
    Dil say milnay ki tamana hi nahi jub dil may
    Tu hath say hath milanay ki zarorat kia hai
    ----------
    Mut Intizar karao hame itna k WAQT k faislay pr tumhe afsoos hojaey
    Aisa na ho k kl tum loat k aao aur hum hamesha k lie khamosh hojaey
    ----------
    Jaaney kon duaon mein yaad rakhta hai
    Mein dobta hoon samander uchhal deta hai
    ----------
    raat phir hm sey rahi neend khafa dair talak
    yaad vo aati rahi mast ada dair talak
    dasht-e-tanhai main ashkon ka sahara lay kar
    hm ney maangi tery milny ki DUA dair talak
    ----------
    kitney aziat sey us ney mujh ko bhulaya hoga
    meri yadoon ney khoob rulaya ho ga
    baat be baat us ki jo ankh chalki hogi
    us ney chahray ko bazuon main chupaya hoga
    socha hoga din main kaye bar mujhey
    naam hathaly par likh likh kar mataya hoga
    ----------
    ujli ujli soorat jin ki man jin k tareeq samandar
    aisay pyaray yar se MOHSIN sehraon k naag bhallay
    ----------
    Koi lamha ho tery sath ka
    Meri umr bhar ko samet le
    Main fana, baqa k sabhi safar
    Usi aik pal men guzar don
    ----------
    Ye ghazlo ki duniya bhi ajib hai
    yahan aansuo ka bhi jaam banaya jata hai
    keh bhi dete agar dard-e-dastan
    phir bhi wah wah sunaya jata hai
    ----------
    apne haathon se yun chehre ko chupaate kyon ho
    mujh se sharmaate ho to saamane aate kyon ho
    tum kabhi meri tarah kar bhi lo iqaraar-e-vafaa
    pyaar karte ho to phir pyaar chupaate kyon ho
    ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho
    dil bhar aataa hai to phir dil ko dukhate kyon ho
    ----------
    bohat maan hai tum pr
    suno pass e wafa rekhna
    sabhi se tum milo lakin
    zera sa fasla rekhna
    bicher jana bhi mumkin hai
    zera sa hosla rekhna
    wo sare wasl k lamhe
    nighahoon mein saja rekhna
    ----------
    Najane kon mujhe dua'on mein yad rekhta hai
    mein doobta hon sumander auchal deta hai
    ----------
    Nahi mangi magar, Khuda ki qasam
    jab b mangi tere milne ki dua mangi
    ----------
    Teri tanhaio me sharek hojaon,
    sochta hon aksar ke tera naseeb hojaon,
    na rahe kisi aur ki aarzo tuje,
    kabi jo ho mumkin to me tere itne qareb hojaon.
    ----------
    Mrne ka tere gham mein irada b nhi
    he ishq magar itna zyada b nhi he
    kiun dekhte rehte hein staroon ki taraf hum
    jb in se mulaqat ka wada b nhi
    ----------
    Abi ye na pucho k manzil khan hai
    abi tu sfr ka irada kiya hai
    na haroon ga mein hosla zendagi bhar
    ksi se nahi khud se wada kiya hai
    ----------
    wo shks mere jan banna rehta ha
    uska pyar mere pehchan bana rehta ha
    koe montazir ha uska kitni shiddat se
    wo janta ha phr b anjan bana rehta hai
    ----------
    Us say juda ho giya Pr Yun laga mujay
    Jasay koi duniya main APNA nahee raha
    Woh BEWAFA nahee magar itna zaroor hy
    Pehlay Wo jis tarha tha WAISA nahee raha
    ----------
    Ajeeb Apni Yeh Zindagi hai
    Sameto Jitna Bikhar Rahi Hai
    Hum Ek Pal Ko Bhi Ji Na Paye
    Yeh Lamha Lamha Guzar Rahi Hai
    Ajeeb Apni Yeh Zindagi Hai
    ----------
    ab k baras kuch aisa karna
    saada sa ek kaghaz le kar
    saray bhule bisre pal likh lena
    saari subhein hazar karna
    saari shamen pass bulana
    sare mousam dehan men rakhna
    aur phir aik muhtat qayas lagana
    ----------
    Shob o roz mangi thidua main ne jis ki khushi ki
    kia khaber thi k us ki khushi mujh se bicherny mein hay
    ----------
    Main jis ki khater mohabaton ki her aik hadon say guzar gia hun
    woh ab bhi mujh say pochta hay sach batao wafa karo gay
    ----------
    Nahi Mujh ko shikayat abb kisi sy
    Bas apny ap sy Rutha hun
    Bazahir khush hun lakin ik sach bataon
    Mein Ander sy booht "TOOTA HUWA HUN
    ----------
    hijr k mosam mai ye barish ka barasna kaisa
    ik sehra se samandar ka guzarna kaisa
    ay merey dil pareshan na ho akela ho kar
    wo terey saath chla he kab tha to bicharna kaisa
    ----------
    main fana ho gia afsoos wo badla bhi nahi faraz
    meri chahat se bhi sachi rahi nafrat uski
    ----------
    koi manzil bhi nahi raah badalte bhi nahi
    hamsafar kese ho do kadam chaltebhi nahi
    kitney majboor hain hum apney payar k hathon
    reza reza huey or bikharty bhi nahi
    ----------
    Hamare sabr ki intiha kia puchte ho Faraz
    Wo mujh se lipat kr roraha tha kisi ro k liyen
    Wo jis qadr b munafiq tha mgr
    ye khta tha BCHERNA mgr phr b silsile rakhna
    ----------
    teri yaad se rishta kal b tha,teri yaad se rishta aj b ha,
    dil apna dukhta kal b tha aur afurda aj b ha,
    wo pyar jo hum tum se krte the,
    wo pyar u zinda aj b ha,tum door hue majboori mai,
    hum bicher gae is duri mai,
    kabi wakt mile tu ajana,
    khula dil ka darwaz aaj b hai. . .
    ----------
    faqt itna kaha tha na humein tum sy mohabbat hai shiraz
    zara si bat par hamari jan lo gy kiya
    ----------
    bheegi hui sham ki dehleez pe bethe
    main dil k sulagne ka sabab soch rha hon
    dunya ki to adat hai badal leti hai ankhen
    main tere badalne ka sabab sooch rha hon
    ----------
    yehi to haseen yadoon ka khubsurat nata hai
    jo bina kisi shart k nibhaya jata hai
    rahi dooriyan darmiyan to kiya howa
    yaad zuban se nahin dill se kiya jata hai
    ----------
    dill ki khamooshi se sansoon k thehr jane tk
    yad ae ga mje wo shakhs maar jane tk
    usne ulfat k b pemane bna rkhe thy
    mainne chaha tha use had se guzr jane tk
    ----------
    samet lo in hansatay huway nazuk palon ko
    na jane ye pal kal hon na hon
    hon b ye pal to kiya maloom
    shamil un palon main ham hon na hon
    ----------
    na kr gharoor hathoon ki lakeeron par
    taqdeer to un ki b hoti hai jin k hath nahi hotay
    ----------
    Mat chaho kisi ko toot kr itna shiraz
    phir simatna mushkal ho jaye
    ----------
    tu mara naam na pocha kar
    main tari zaat ka hisa ho
    main tari soch main shamil ho
    main tari nend ka qisa ho
    main taray khawab ka hasil ho
    main tari yad ka mehwar ho
    ----------
    sirf chahnay say koi bat nahi hoti
    suraj k samnay kabi raat nahi hoti
    hum chahtay hain jin ko jan se b ziyada
    wo bastay hain dill main bus mulaqaat nahi hoti
    ----------
    Kuch loag dil pe is tarah asar kar jaatey hain
    Tootey hoey sheeshon mein b sabat nazar aatey han
    Raho mein miltey han kuch dair k liey
    Aur zindagi bhar k liye dil mein utar jaatey han
    ----------
    Is qadar shiddat say usey socha hai musalsal mein ne
    K aaj mairi zaat ka mujh say ikhtalaaf ho gaya
    ----------
    aaj uski mohabbat may kuch kami dakhi chand ki chandni may bi kuch nami dakhi udahaas ho ka lout gay hum apna ghar jab usti mhafil gharo se jami dakhi
    ----------
    IS SHEHAR MAI KITNY CHERAY THY
    KUCH YAD NAI SAB BHOL GAY
    EK SHAKHS KITABO JAISA THA
    WO SHAKHS ZABANI YAD HUA
    ----------
    Dhoop ho chaun ho tm sath nibhaya kerna
    Mere chehre p sada Palkon ka saya rkhna
    Rah dekhon gi tumari
    Kabhi jaldi kabhi dair se aya kerna
    Daant lena sar_e_mehfil koi bat nahn
    Phir akele mai galay lag k manaya kerna
    ----------
    Mangty mangty dua mere sath
    Bujh giya akhry diya mere sath
    Tu nay mujhy ko taslye dena thy
    Tu bhi ay shakhs roo para mere sath
    Dil me aya khiyal tujh se milo
    Chal para ek rasata mere sath
    ----------
    TUJH SAY LAFZOO KA NAHI ROOH KA RISHTA HEI MERA
    TOO TO TEHLIL HEI MUJH MEI MERI KHUSHBOO KI TARHA
    ----------
    Jala k tu b agar aasra na day mujh ko
    Ye khauf hai k hawa phir bujha na dey mujh ko
    Mei is khayal say murr murr k daikhta hoon usey
    Bichar k wo b kahin phir sada na day mujhko
    Bus is khayal say shab bhar main so nahi sakta
    k khauf-e-khawab-e-guzishta jaga na day mujh ko
    ----------
    Shikasta khwab o shikasta pa hoon mujhey duaaoon mein yad rakhna
    main aakhri jang larr raha hoon mujhey duaaoon mein yad rakhna
    hawaien paigham day gai hain k mujh ko darya bula raha hai
    main baat sari samajh gya hoon mujhey duaaoon mein yad rakhna
    ----------
    Mera Batin bhi na Zahir k mutabiq Nikla
    Jitna banta tha main utna bhi na Sadiq nikla
    main bhi tha apni muhaabat mein Riya kar bahut
    or woh mujh se bhi kutch barrh k Munafiq nikla
    ----------

  2. #2
    Aasi_786's Avatar
    Aasi_786 is offline Advance Member
    Last Online
    2nd February 2024 @ 10:00 PM
    Join Date
    14 Jan 2008
    Location
    Islamabad
    Posts
    19,001
    Threads
    2012
    Credits
    1,386
    Thanked
    1109

    Default

    Very nice work

  3. #3
    syedraza110 is offline Senior Member+
    Last Online
    12th September 2015 @ 12:05 AM
    Join Date
    19 Jan 2013
    Location
    Karachi
    Gender
    Male
    Posts
    225
    Threads
    3
    Credits
    0
    Thanked
    14

    Default re: thread


  4. #4
    syedraza110 is offline Senior Member+
    Last Online
    12th September 2015 @ 12:05 AM
    Join Date
    19 Jan 2013
    Location
    Karachi
    Gender
    Male
    Posts
    225
    Threads
    3
    Credits
    0
    Thanked
    14

    Default


  5. #5
    PrInCeSsSsSs's Avatar
    PrInCeSsSsSs is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd April 2015 @ 04:06 PM
    Join Date
    03 Aug 2012
    Location
    SssSshhh...
    Gender
    Female
    Posts
    1,623
    Threads
    110
    Credits
    0
    Thanked
    294

    Default


    Its NoT mY FauLt
    I BoRn With BeAutiFul LooK PrInCeSs AttituDe

  6. #6
    Zara112 is offline Senior Member+
    Last Online
    5th August 2013 @ 02:07 PM
    Join Date
    08 May 2012
    Location
    aham aham.....
    Gender
    Female
    Posts
    14,728
    Threads
    384
    Credits
    0
    Thanked
    1492

    Default

    nice..........

  7. #7
    Shafiq Farooqi's Avatar
    Shafiq Farooqi is offline Senior Member+
    Last Online
    31st August 2020 @ 09:20 PM
    Join Date
    16 Jun 2010
    Location
    Rawalpindi
    Age
    31
    Gender
    Male
    Posts
    390
    Threads
    37
    Credits
    7
    Thanked
    18

    Default

    Gud

Similar Threads

  1. Q? & Ans SMS Archive
    By shahid786imran in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 2
    Last Post: 30th December 2016, 09:23 PM
  2. kgb archive
    By Yasinsinee in forum General Help Zone
    Replies: 0
    Last Post: 22nd August 2015, 10:59 AM
  3. KGB Archive
    By ishmaria in forum Solved Problems (IT)
    Replies: 11
    Last Post: 30th November 2010, 10:03 AM

Tags for this Thread

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •