Aua wr wb,
1. Khwabon par itni tawajjo nahi deni chahiay.
2. Agar khwab bataana ho to kisi aysay banday ko bataya jaey jo ahl-e-ilm ho aur aap ka khair khwah bhi ho, q k jo ta'beer wo bataaey ga, usi tarha honay ka chance hai.
3. Agar bura khwab dekhain to Left side (baaein taraf) moonh kar k A'oozu billahi menash Shaitan ir Rajeem parhain, 2, 3 bar halka sa thook dain and Sadqa karain q k Sadqay say bala talti hai.
4. Acha khwab dekhain to Right side (Dahni taraf) moonh kar k Bismilllah ir Rahman ir Raheem parh kar 2, 3 bar halka sa thook dain and kuch shukraanay k liay sadqa dain.
5. Raat ko Wuzu kar k paak bistar par aur Ayat-ul-Kursi (Shaytan se hifazat) parh kar sonay ki koshish karain to Khwab achay aanay ki umeed hai.
baqi wAllaho A'lam bisSawaab.
wasSalam
-----
Barg-e-Khizan ko Un se Umeed-e-Bahaar hai
Bookmarks