Zinda rahain to kya hai? jo mar jaayen hum to kya?
Duniya se khamoshi se guzar jaayen hum to kya?
Hasti hi apni kya hai zamaane k saamne,
Ik khuwab hain jahaan’ main bikhar jaayen hum to kya?
Ab kon muntazir hai humare liye wahaan?
Shaam aa gayi hai lot k ghar jaayen hum to kya?
Dil ki khalish to sath rahegi tamaam umar,
Daryaa-e gham k paar utar jaayen hum to kya?
(Munir Niyazi’)
Bookmarks