Itna toota hoon k choonay se bikhar jaaoonga,
Ab agar aur dua dogay to mar jaaoonga !
Har taraf dhund hai, jugnu hai na charag koi,
Kaun pehchanayga, basti mein agar jaaoonga !
Zindagi, main bhi musaafir hoon teri kashti ka,
Tu jahan mujh se kahegi main utar jaaoonga !
Phool reh jayengay guldaan mein yaadon ki nazar,
Main to khushboo hoon fizaon mein bikhar jaaoonga
Bookmarks