Aseer-e-Dasht-e-Wafa ka na maajra Kehna.
Tamam Pochne walon ko bs dua kehna.
Ye Kehna K raat gurzarti hai ab bhi ankhon main,
Tumhari yaad ka qaim hai silsila kehna,
ye Kehna k Chand Nikalta hai baam per ab bhi,
Mgr nahi wo shab ka ab maza kehna.
ye kehna k hum ne hi tofan main daal di kashti
qasoor apna hai drya ko kiya bura kehna,
ye kehna k tumhain yad kr k bikhar gaya hon main,
ke jaisy Haath se gir jaye aaina kehna....
Bookmarks