Page 1 of 5 1234 ... LastLast
Results 1 to 12 of 52

Thread: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

  1. #1
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Arrow Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .



    Puraani kitaab mein rakhi tasveer se baatain
    Aaj barsoon ke baad dekha hai

    Ab bhi aankhoon ka rang ghehra hai
    Aur maathay ki saanwli si lakeer

    Dil mein kitne deeye jalaati hai
    Teri qaamat ke saaye ki khushboo

    Guftugoo mein bahaar ka mausam
    Be-sabab aitbaar ka mausam

    Kyon mujhe saaray dhang yaad rahay
    Kitni hairaan hogaee khud per

    Mein tujhe aaj tak nahee bhuli
    Pichle mausam ki yaad baaqi hai ...



    CHANDAMALIK

  2. #2
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    zakham yeh wasl kay marham say bhi shayed na bharey
    hijr main esi mili ab kay musaafat hum ko
    daag-e-assia'an to kisi torr naa chuptey Amjad
    dhaanp leti naa agar chadar-e-rehmat hum ko...

  3. #3
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    Ajeeb terha se utri hai ab k tanhai
    Dewar-o-dar se baras nay lagi hai tanhai

    ye merey ghar ki udasi se dar gai shayad
    lipat k mujh se galay ro rahi hai tanhai

    chalo k sham hui ab to lautna hai mujhey
    k merey ghar pay meri muntazir hai tanhai

    main ja k us ko sonata hon hal-e-dil apna
    phir apna haal sonati hai mujh ko tanhai

    woh rasta ho k manzil ho ya k mehfil ho
    meri rafeeq -------meri razdar --------tanhai

    bari talash se us ko mila hai ghar mera
    phiri hai merey lia dar badar ye tanhai

    kabhi yahan bhi to qadmo ki aahatain aain
    mujhi se kehnay lagi hai ye meri tanhai


    CHANDAMALIK

  4. #4
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    aajab apna haal hota,jo wesaal-e-yaar hota
    kabhi jaan sadky hoti,kabhi dil nesaar hota

    jo tumhari tarha tum sy koee jhooty wady karty
    tumhi munsafi sy keh do,tumhain aitebar hota

    ye maza tha dil lagi ka k barabar aag lagti
    na tujhy karar hota,na mujhy karar hota

    na maza hai dushmani main,na hai lutaf dosati main
    koee gair gair hota,koee yaar yaar hota

    tyry wady pay setamgar abhi aur sabar karty
    agar apni zindagi ka hamain aitebar hota

  5. #5
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    pyar ka meetha Ahsaas dilaney laga hai tu
    ab to mujh se mujhi ko churaney laga hai tu

    teri chahatoon ka chaya hai saroor is qadar
    har pal har jagah nazar aney laga hai tu

    veeran thi yeh zindagi tere aaney se pehley
    khushiyoon ke sapney mujhey dhikaney laga hai tu

    har pal mujhey hota hai bus tera hi Ahsaas
    is qadar meri sanson main samaney laga hai tu

    ek pal ki bhi doori seh nahi pata hoon main
    hoke juda kyun mujhey aazmaney laga hai tu

    rah chaltey huye aksar hota hai yeh gumaan
    ke ban saya sath mere aaney laga hai tu

    naam koi bhi loon to naam aaye tera labon pe
    ban ke jadu meri rooh main samaney laga hai tu

    teri yadoon se hi aksar hota hai dil munavar mera
    ghul ke sath lahoo ke nas nas main samaney laga hai tu

    janey kaun si dor hai teri aur khinch le jati hai
    mujh ko apni dewani bananey laga hai tu

    tasavoor main aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
    chod ke duniya meri bahon main samaney laga hai tu

    yeh to bata ke kya naam doo is dewangi ko
    bechen ker ke har lamha mujhey tadpaney laga hai tu

    terey khayalon se mehakney lagti hai zindgi meri
    mere zahen-o-dil pe is qadar chaney laga hai tu

    yeh masumiyat yeh bholapan yeh sadgi teri
    mujh ko har ada se ab sataney laga hai tu

    zist ke rahon main dhoop thi har taraf
    apney pyar ki barish ko barsaney laga hai tu

    shayed kya is baat ka tujhey hai Ahsaas
    merey har sher main har Ghazal main aaney laga hai tu


    CHANDAMALIK

  6. #6
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    AGAR WOH MEHARBAAN HOTA
    TOO MYRI AANKH MAIN
    NA JHILMILATI YE NAMI HOTI
    NA MYRY DIL KI WADI MAIN
    KHEEZA KA KAFALA HOTA
    MYRI BY NOOR AANKHOON MAIN
    SETARAY KAYAAD KAR DYTA
    MYRI ZAKHMI HATHAYLI PAR
    WO KOEE PHOOL RAKH DYTA
    MYRY HATHOON KO APNY HATH MAIN LAY KAR WOH YE KEHTA
    MOHABAT ROSHANI HAI,RANG HAI,KHUSHBOO,SETARA HAI
    KASAM MUJH KO MOHABAT KI
    MUJHY TU SAB SY PEYARA HAI
    MAGAR AYSA WO TAB KEHTA
    AGAR WO MEHARBAA HOTA


    ChandaMalik

  7. #7
    sarmad sindhi's Avatar
    sarmad sindhi is offline Senior Member+
    Last Online
    15th February 2011 @ 03:40 PM
    Join Date
    04 Dec 2009
    Location
    -= Sukkur Sindh Pakistan =-
    Gender
    Male
    Posts
    987
    Threads
    38
    Credits
    980
    Thanked
    85

    Default

    Bohat achi or nehayat peyari sharing hay

  8. #8
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    Mainey Din Raat Apney Jisski Yaad K Naam Kiye Hain
    Woh To ek Pal Bhi Mujhe Sochta Na Hoga

    Jiski Tasveer Main Har Aik Shae Main Hoon Dekhti Rehti
    ek Nazar Bhi Woh Shaks Mujhe Dekhta Na Hoga

    Yeh Lab Jo Sada uska Naam Ley Kar Mangtey Hain Duaian
    Mera Naam Bhi Woh To Kabhi Laita Nahin Hoga

    usey Sadain Daita Rehta Hey Yeh Pagal Dil Mera
    Aik Pukar Bhi Kabhi Dil uska Mujhe Daita Nahi Hoga

    Meri Ankhain Dekhti Hain Har Pal Rasta uska
    Woh To Youn Pal Pal Mera Intezar Karta Na Hoga

    Jiskey Liye Mera Bawla Man Tarasta Rehta Hey
    Shabb-e-Tanhai Main Meri Terah Woh Tarapta Nahin Hoga

    Haathon Ki Lakeeron Main usko Dekha Hey Mainey
    Kabhi Bhi Mujhe Woh Shaks Aisey Talaash Karta Na Hoga

    uska ahsas Beh Raha Hey Mujh Main Laho Ki Manid
    Mujhe Woh Apney Ansoun Main Bhi Pata Nahin Hoga

    Apney Naam Ko Main uske Naam Se Jor Daiti Hon
    Merey Aur uske Rishtey Ka usey Kheyal Bhi Ata Nahi Hoga

    Jisko Mana Hey Mainey Sabab Mussarat-e-Zindagi
    Woh To Mujhe Apna Dukh Bhi Maanta Nahin Hoga

    Ban Chuka Hey Woh Meri Manzil Meri Taqdeer
    Kabhi Bhi Juda Rastoon Ko Meri Terah Woh Aik Karta Nahi Hoga

    Itni Door Hey Mujhse Phir Bhi Merey Kitney Kareeb Hey
    us Ne To Kabhi Mujhe Mehsoos Hi Kia Nahi Hoga

    Tumne To Aafi Apney Wajood Ko Rang Dia Hey uski Chah Main
    Kabhi Socha Hey Tumne Woh Shaks Tumse Pyar Karta Bhi Hoga?


    CHANDAMALIK

  9. #9
    Confuse's Avatar
    Confuse is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd May 2015 @ 03:53 PM
    Join Date
    17 Jan 2009
    Location
    Khamosh NaGaR
    Gender
    Male
    Posts
    8,124
    Threads
    778
    Credits
    0
    Thanked
    785

    Default

    aap chanda malik hain , larka ya larki , pehle tu mujey yeh confusiion ho rahe ha , phir aap ne sharing zabardast ki so nice

  10. #10
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    Our kuch der meray saath chalo
    Our thaam ker rakho kuch der
    Go kiss tor per mujhay adam tahafuz ka nhiin hai ahsaas
    Phir bhi ek bacha jo betha hai meri zaat main khiin
    Teray pehloo main simatna chahay
    Ho sakay to mujhay jhidko bhi shirarat per meri
    Go shirarat meri aadat main nhiin hai shamil
    Phir bhi kuch der ko maasoom sa bun jaana bhala lagta hai
    Our kuch der meray saath chalo
    Lay chalo ungli pakad ker meri
    Mujhay chand khilonay do
    Go khilonoon ki ummer nhiin hai meri
    Phir bhi kia harj hai kuch der behel jaanay main
    Our kuch der meray saath chalo…..!!!!!!!


    CHANDAMALIK

  11. #11
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    janu ki haad sy guzar kar karoon mohabat bhi
    main kia karoon k mujhy eekhtiyar hi kam hai
    abhi sy darty ho tum myry sabar-o-zabt sy kiyun
    abhi to sabar myra sogwaar hi kam hai
    suna hai toty diloon par woh meharbaa hai bohat
    myra to daman-e-dil tar tar hi kam hai
    main kis taraha sy chaloon sath dair tak tyry
    myri heyaat ki ye rah-guzar hi kam hai
    laho bhi roye ga ik din ye myra deeda-e-taar
    abhi to aankh myri bykarar hi kam hai
    woh sun na paya agar jo kia gila us sy
    myri nazar sy oothi ye pokar hi kam hai
    bechar k jeny ka wada main kia tyry sy karoon
    main kia karoon k mujhy aitebar hi kam hai
    woh ik lagan jo mujhy zaat main aamar kar dy
    myry laho main abhi woh sharar hi kam hai
    woh khal-o-khad jo likhon to madhoosh kar dain gy
    mairy laboon pay abhi ye khumar hi kam hai
    ye zindagi ka diya tha dua k hathoon main
    jo bujh raha to laga ye hesaar hi kam hai

  12. #12
    Chandamalik's Avatar
    Chandamalik is offline Senior Member+
    Last Online
    20th July 2014 @ 11:18 PM
    Join Date
    22 Oct 2006
    Location
    Mansehra
    Posts
    670
    Threads
    206
    Credits
    0
    Thanked
    148

    Default

    shaam k ujalon main
    apnay naram hathon say
    koi baat achi si
    koi khwaab sacha sa
    koi bail ki khushboo
    koi seep sa lamha
    jab bhi likhna chahogay
    soch k dareechon say
    yaad k hawalaoon say
    mera naam chup chup k
    tum ko yaad ayega
    haath kaanp jayengay
    shaan teer jayegi
    sardion k mausum main
    jan december ayega
    mera naam chup chup k
    tum ko yaad aay ga
    hath kapm jaen gay
    sham teher jay gee



    CHANDAMALIK

Page 1 of 5 1234 ... LastLast

Similar Threads

  1. Intekhaab انتخاب
    By Waqar Rasheed in forum Design Poetry
    Replies: 27
    Last Post: 29th March 2013, 03:00 PM
  2. Replies: 40
    Last Post: 23rd October 2012, 11:59 AM
  3. Mera Intekhaab
    By afrozkhan in forum Baat cheet
    Replies: 10
    Last Post: 14th March 2010, 06:23 PM
  4. MQM muslim nashishtun pe intekhaab ki ahl nien rahi
    By i love sahabah in forum Khatm-e-Nabuwat
    Replies: 3
    Last Post: 16th September 2009, 06:52 PM
  5. Husn e intekhaab
    By Fighter in forum Tanz-o-Mazah
    Replies: 2
    Last Post: 5th August 2009, 04:38 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •