Bikhar gayaa sar-e-aafaaq jab kinaara shaam
Pas-e-nigaah utarne lagaa sittara shaam
Shab-e-syaah main rukh sem-gon pe teherii huii
Wo chaandnii thii ke yaa koii maah-paara shaam
Num sahar na the lekin sahar ke saath the ham
Phir uss ke baad zara saa thaa ik ishaara shaam
Tuloo-e-shaam talak ham hii shab-gazeeda rahe
Hamiin se jalta rahaa subha se sittara shaam
Udaas rehte kisii subha taabnaak main ham
Ye aaftaab jo hota na ista'ara shaam
Wohii shafaq had-e-aflaak tak bikhartii huii
Ke dast-e-subha uffaq taab main hai paara shaam
Qabaa-e-surkh main qaetaas aasmaan pe koii
Nazar uthaa ke nikalne ko hai shumaara shaam
Uffaq ke paar chalo aao, ham bhii chalte hain
Ye dekhte hain, kahaan se jalaa kinaara shaam
( Aitbar Sajid )
Bookmarks