"Meri zindagi ki kitab wo,
mere her sawal ka jawab wo,
main usay parhun tamaam umar,
meri hayat ka nisaab woh,
meri her dua uss kay liye,
meri ebadatoon ka sawaab woh,
main saara din ussi main maggan,
meri her raat ka khawab woh,
likhun aur kia main us ki zaat par,
meri zindagi ka rubaab woh.
Bookmarks