ahteshamjam said:
Bhai jaan jesa aap na bataya kah battery charge nahi hoti toh is kah lia toh yahi lagta ha kah battery damage ho gai ha our aap ko battery change karna para GI but maybe aap ka charger kharab ho kyonkah kabhi kabhi asa hota ha kah charger battery charge nahi karta mera pass dell laptop tha us kah sath bhi yahi problem thi main na new battery le li 2800 ki lakin phir bhi problem theak na hoi main kafi preshan ho gaya lakin phir main na apna friend ka charger use kya toh pata chala kah battery main masla nahi tha na hi laptop main balkah charger main masla tha toh mari aap sa advice ha kah pahla charger change kar kah dekhain Allah kara aap ka problem hall ho jay agar aap ka problem mari advice sa hall ho jay toh reply me with thanked msg plz thanks
Bookmarks