Page 1 of 3 123 LastLast
Results 1 to 12 of 26

Thread: jhoota maseeha! maseeh al-Dajjal!

  1. #1
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default jhoota maseeha! maseeh al-Dajjal!

    ESA ibne Maryam ke libaas maen USA ibne Sood ka dhoka aik mujasime ki shakal maen! Ye mujasima Mashirq maen aik Jazeere per hae, jazeeron ki ye chppi hui duniya ISlam aane ke 600 saal baad daryaft hui, jo New york ke naam se mash-hoor hae!
    Name:  StatueLiberty33.JPG
Views: 5369
Size:  24.7 KB

  2. #2
    aemughal's Avatar
    aemughal is offline Senior Member+
    Last Online
    16th September 2015 @ 04:18 AM
    Join Date
    04 Jun 2009
    Location
    Barcelona
    Gender
    Male
    Posts
    568
    Threads
    45
    Credits
    960
    Thanked
    14

    Default

    bulkul theek

  3. #3
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default USA ibne Sood Mashriq maen ya Maghrib maen?

    Firon sooraj maghrib se to nikaal sakta nahin, lehaza uss ne khud ko maghrib maen hone ka dhoka dene ke liye world map per aik line kheench di aur hum maan gaye, jab ke jahan sooraj taluu hota hae wo mashriq hota hae aur jahan gharoob ho wo maghrib. Ghaur se world map ko dekhiye aur bataiye ke USA mashriq maen hae ke maghrib maen! mujhe iss taraf tawaju Dajjal ke mashriq maen hone ki hadith ne dilwayee aur Quran maen Firon aur Ibrahim A.S ke mukaalme se bhi ye hi zahir hota hae! Ibrahim A.S ke waqt ka firon murda zinda karne ka dhoka to de saka magar mashriq o Maghrib na badal saka, hamare waqt ka firon uss se zyada chaalaak nikla hae, magar Kab tak! Sooraj NY per taluu hota hae na ke gharoob!
    Name:  world_super_map_full.JPG
Views: 8787
Size:  40.3 KB

  4. #4
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Sura kahaf maen Zul(twin) Qarnain(towers/horns) ka zikr aur hamara waqt boht milte julte haen, Zulqarnain ka safar dekhen to jab wo aik aisi zameen per pohanchte haen jahan sooraj taluu hota hae to wahan un ko aik qaum milti hae jo bin libaas thi, aur jab America daryaaft huwa to hamen bhi red indians(bin libaas) qaum ka saboot milta hae! aage ja kar hamen ya Jew j aur ma JEW j ka zikr milta hae, lafz Jew bhi hamen issi sar zameen se milta hae!

    wa Allahu aalam!

  5. #5
    habibrahet's Avatar
    habibrahet is offline Advance Member
    Last Online
    25th August 2021 @ 02:33 PM
    Join Date
    30 Nov 2008
    Location
    PaKisTaN
    Gender
    Male
    Posts
    2,041
    Threads
    140
    Credits
    69
    Thanked
    102

    Default

    Quote Ahmed1rfan said: View Post
    Firon sooraj maghrib se to nikaal sakta nahin, lehaza uss ne khud ko maghrib maen hone ka dhoka dene ke liye world map per aik line kheench di aur hum maan gaye, jab ke jahan sooraj taluu hota hae wo mashriq hota hae aur jahan gharoob ho wo maghrib. Ghaur se world map ko dekhiye aur bataiye ke USA mashriq maen hae ke maghrib maen! mujhe iss taraf tawaju Dajjal ke mashriq maen hone ki hadith ne dilwayee aur Quran maen Firon aur Ibrahim A.S ke mukaalme se bhi ye hi zahir hota hae! Ibrahim A.S ke waqt ka firon murda zinda karne ka dhoka to de saka magar mashriq o Maghrib na badal saka, hamare waqt ka firon uss se zyada chaalaak nikla hae, magar Kab tak! Sooraj NY per taluu hota hae na ke gharoob!
    Name:  world_super_map_full.JPG
Views: 8787
Size:  40.3 KB

    aap ki baat say lag raha hay k aap America ko DAJJAL sabit karna chahtay hain.

    zaroor keejiay

    mager
    jiss line ka aap nay tazkira kiya, (i) woh line, (ii) Time Zone (iii) yeh line kis nay khenchi, (iv) Time zone kiss nay banaey. (simtain , east, west, north south, kab wajood main aaen, or yeh kiss nay banaeen)

    in sab baton ki roshni main apni baat ki wazahat karen,
    takay hamaray samajhnay main asani ho.

    doosri baat.
    ager aap nay sabit kar bhee diya k America he Dajjal hay.
    to phir os ko thora aor detail main sabit keejiay ga k konsa american Dajjal hay. har amriki, ya wahan kay governers ya wahan k president?
    shayed aap president per aa ker ruk jaen.

    phir yeh sabit keejiay ga kay,
    kaya dajjal sirf ek zaat hay, ya woh her 4 saal baad ( ya kabhi kabhar ) 8 saal baad shakkal tabdeel kar kay aa jaya karay ga. ( 4 saal baad american president change hota hay)

    plz rahnumai farmaaeay.
    The Race Is Not Over, Coz I've Not Won Yet.



  6. #6
    Aam!R's Avatar
    Aam!R is offline Senior Member+
    Last Online
    8th August 2010 @ 02:59 AM
    Join Date
    19 May 2009
    Location
    ~ karach! ~
    Age
    37
    Gender
    Male
    Posts
    1,015
    Threads
    50
    Credits
    593
    Thanked
    13

    Default

    qyamat k asaar k barey main buhat mufeed kitab ha zroor mutalla karein or dosroon ko b iski daawat dein
    "Teesri Jang e Azem or Dajjal"

  7. #7
    aobatkaro's Avatar
    aobatkaro is offline Senior Member+
    Last Online
    16th February 2017 @ 02:48 AM
    Join Date
    14 Aug 2008
    Posts
    849
    Threads
    46
    Credits
    1,107
    Thanked
    11

    Default

    Quote Ahmed1rfan said: View Post
    ESA ibne Maryam ke libaas maen USA ibne Sood ka dhoka aik mujasime ki shakal maen! Ye mujasima Mashirq maen aik Jazeere per hae, jazeeron ki ye chppi hui duniya ISlam aane ke 600 saal baad daryaft hui, jo New york ke naam se mash-hoor hae!
    Name:  StatueLiberty33.JPG
Views: 5369
Size:  24.7 KB
    http://www.itdunya.com/showthread.php?t=34996
    آج کےدجال کے بارے میں جاننے کیلئے یہ لنک کھولیں

  8. #8
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    [QUOTE=habibrahet;951798][B]aap ki baat say lag raha hay k aap America ko DAJJAL sabit karna chahtay hain.

    zaroor keejiay

    mager
    jiss line ka aap nay tazkira kiya, (i) woh line, (ii) Time Zone (iii) yeh line kis nay khenchi, (iv) Time zone kiss nay banaey. (simtain , east, west, north south, kab wajood main aaen, or yeh kiss nay banaeen)

    in sab baton ki roshni main apni baat ki wazahat karen,
    takay hamaray samajhnay main asani ho.

    doosri baat.
    ager aap nay sabit kar bhee diya k America he Dajjal hay.
    to phir os ko thora aor detail main sabit keejiay ga k konsa american Dajjal hay. har amriki, ya wahan kay governers ya wahan k president?
    shayed aap president per aa ker ruk jaen.

    phir yeh sabit keejiay ga kay,
    kaya dajjal sirf ek zaat hay, ya woh her 4 saal baad ( ya kabhi kabhar ) 8 saal baad shakkal tabdeel kar kay aa jaya karay ga. ( 4 saal baad american president change hota hay)


    al'Salaam alekum!

    mohtram dost, mera kaam tehqeeq karna hae, aur apni tehqeeq ko ba taur mushawarat pesh karna mera farz aur qarz hae Ummat e Muslima per, agar meri tehqeeq ki roshni maen kuch saabit hota hae to uss ka faisla bhi aap hi ko karna hae iss daur ke haalaat ki roshni maen.

    maen itni baat jaanta hun ke hamen Dajjal se nahin balke Fitna tul Dajjal se bachne ka hukm hae unn masnoon duaaon ki roshini maen jo Akhri Nabbi A.S ne hamen taleem farmayeen.

    Rasool Allah ki Sunnat ki roshini maen Dajjal ki tehqeeq aik Sunnat hae, Rasool Allah ki tehqeeq ke doraan sab se pehla shakhs jiss ko Dajjal samjha gya wo ibne Sayyad hae, magar tamim dari ke safar ki khabar se pehle na to koi wahi bheji gayi ke Ibne Sayad Dajjal hae ya nahin aur na hi Jibraeel A.S ne aa kar Rasool Allah ko Ibne Sayyad ke Dajjal hone ya na hone ki koi khabar di, yani iss fitna(imtihaan) ki nishaaniyon se barh kar koi aur clue nahin diya gya.

    Iss baat se zahir hota hae ke Tehqeeq ka darwaza khula chorr diya gya.

    Tamim Dari ke safar ki daastaan se zahir hota hae ke wo sumandar maen kayi roz tak toofaan ki nazar rahe, phir aik anjaane jazeere per ja utre, pehli cheez jo un ko wahan mili wo aik jaanwar(jassasa) tha, jiss ke itne baal the ke sar aur paaon ka pata nahin chalta tha, uss janwar ki nishan dahi per jab Tamim dari apne saathiyon ke saath aik ibadat gah pohanche to wahan un ko aik shakhs zanjeeron maen jakra huwa mila jiss ne sawal jawab ke baad khud ko Dajjal hone ka daawa kiya. Maze ki baat ye hae ke Tamim dari ne uss shakhs ki aik aankh hone ka koi zikr nahin kiya. Lehaza ain mumkin hae ke ye badrooh jo bhi fitna Ummat ko phasaane ke liye tayaar kare gi, lehaza Dajjal ki to aik aankh ka zikr Tamim dari ne nahin kiya magar mumkin aur ain mumkin hae ke Dajjal jo fitna tayyaar kare ga, uss fitne ki aik aankh ho/hae.

    Aap ko aik aur heraan kun baat bataata chaloon jo mujhe tehqeeq ke doraan library of congress se Colombus ke Safar per mushtamil records se mili. Wo bhi kayi roz ke safar ke baad aik jazeere per pohancha aur subhaan Allah records ke mutabiq pehli cheez jo uss ko mili wo aik jaanwar tha jiss ko uss ne bayaan kiya aik aise jaanwar ke taur per jo baalon se bhara para tha aur uss ke sar aur paaaoon ka pata chalaana mushkil tha baalon ki waja se, uss janwar ko (tukki) ka naam diya gya.
    Records ke mutabiq, colombus ke saath kayi yahudi bhi the uss safar maen , Del de Torres jin maen zyada bara aalim aur mash-hoor shaks tha, Colombus ne usse records ki roshni maen hukm diya (look for Tartari khan), mere khyaal maen in hi logon ne dajjal yani jiss ko wo tartari khan ke naam se records maen show karte hae, uss se mulaqaat ki, yaqeenan unhon ne tamim dari ke safar se ye jaana ho ga ke wahan koi shaks hae jiss ko dhoondne ka hukm Colombus ne Del de torres ko diya. wa Allahu aalam.
    Del de torres Colombus ke saath wapis nahin aaya balke uss ne wahin sakoonat ikhtiyar ki, uss ne wahan baara qabeelon maen aik aik shadi ki aur wahin bas gya. aur usse wahan ke logon ki zubaan bhi aati thi. ye bhi library of congress ke records ki roshni maen.

    mere liye tehqeeq e fitna e maseeh al Dajjal maen Tamim dari ka safar aur colombus ka safar nahayat ehmiyat ke hamil haen kyunke ye donon bohat zabardast hum aahangi ke hamil haen. na sirf iss baat se ke donon ko hi pehle aik jaanwar jo baalon ki zyaadati ki waja se jaana gya balke uss ke baad donon ka kissi shakhsiyat se milna ya colombus ke waqia maen uss shaks ka khoj lagaana, nahayat heraan kun waqia hae! Sura Kahaf maen hamen zul qarnain A.S ke safar se bhi hamen aik aisi zameen ka pata chalta hae jahan aik aisi qaum basti thi jiss ke jism aur sooraj ke darmyaan koi aar na thi(red indians) aur colombus ki daryaft e America se wo qaum bhi hamare saamne aa gayi! Aage unn ka ya JEWj ma JEWj ko qaid karna aur phir waqt aane per unn ka har oonchaai se utarna aur logon maen ghuss parna bhi SUra kahaf se hae, Lafz JEW hamen USA se hi milta hae, jab wo Holly-wood(jadoo-ki charri) ke istimaal se har har oonchaai se hamare gharon maen daakhil hote nazar aate hae tv ke zariye, hamare libaas aur culture ko rondate huwe, maeeshat ko bhi aik aankh waale al-dollar ke zariye sod ki zanjeeron maen qaid kiye huwe. ye bhi aik tajziya hae na kaabile faramosh! aage wa Allahu aalam!

    Chun ke Quran maen koi aisi khusk ya tar shaiy aisi nahin jiss ka zikr na kiya gya ho to meri nazar maen Dajjal aik firon se barh kar kuch nahin, har har firon jhoota yani dajjal hi hae! ab dekhiye ke firon ki taaqat uss ki fauj, maeeshat aur jaadu ke hathkandon maen thi , aur aik firon ke marne per dosra firon aur phir teesra bhi ussi taaqat ka istimaal karta tha aur firon ke laqab se hi jaana jaata tha. ye lafz, Dajjal, the-jaal, the net, the web tehqeeq ki kasoti per kissi bhi tarha se dekha jaa sakta hae jab ke iss ki buniyaad bhi aik aankh per hi hae. wa Allahu aalam!


    Ahadith ki roshni maen Dajjal waqt maen tabdeeli laye ga, Allah hi behtar jaanta hae ke wo tabdeeli daylight saving maen ghanta aage peeche karna hae, ya USA ke 12 ghante aage hone ki bajaye 12 ghante peeche hona hae mashriq ki bajaye maghrib maen khud ko zahir kar ke, ya abhi kuch aur bhi. wa Allahu aalam. magar jahan tak Nabi PAK A.S ki baaton ki roshni maen maen samjha hun, wo ye hae ke hamen Dajjal ke fitna(imtihaan) se guzarna hae, aur wo hamen maeeshat ke naye nizam ke zariye Rabbubwiyat ka dhoka de ga, aur wo dhoka aa chuka hae paper currency, khaaskar dollar ki shakal maen, maen iss baat ko wazaahat se bayaan karun ga apne naye thread maen insha Allah. Magar kissi shakhs ka Dajjal hona ya na hona, Dajjal ke fitne ki perwi karne se hutt ke hae! asal mass'ala ye hae ke agar Allah Rabb hae to hamara trust(reserve) gld maen hona chaahiye bilkul aise hi jaise 1400 saal tak Ummat e muslima ka dastoor raha hae, kissi kaghaz ki mohar wo bhi sood ki mohar jo khuda ko aik aankh se mansoob kare aur uss aik aankh ko 'eye of providence aur all-seeing eye hone ka daawa kare to baat bari saaf hae ke, Rabb Allah hae aur Rabbubwiyat bhi ussi ki hae aur Allah ki aik aankh nahin, doosra 'all-seeing eye ka matlab al-Baseer ki aankh hae, iss roshini maen al-dollar al-daJJal hi ki mohar hae, aur iss mohar ko qabool karna hi Dajjal ki perwi hae, yahan Dajjal aik shakhs hae ya nahin, zahir hae ya chhuppa hae, iss ka koi ta'luq nahin iss baat se kyunke poori ki poori ummat ne sood ki iss mohar maen apna trust-reserve rakha huwa hae, jo ke na to sirf aik azeem dhoka hae balke Quran o Sunnat ki roshini maen Shirk se kam nahin, wo shirk jo anjaane maen huwa magar abb zahir hae!

    Dollar se reserve nikaalna USA ki maut hae, kyunke USA 1776 maen dollar ke wajood aane ki buniyaad per wajood maen aaya wo bhi 1776 maen hi! 1940 maen paper currency Muslim world maen introduce ki gayi, jab ke uss ka wajood 1776 se aik chhuppi hui dunya maen pehle se sood khor JEWS ke new world order ke taur per wajood maen aa chuka tha, aur ye chhuppi duniya hum ne aik andhi aankh(TV) ke zariye dekhi jo aik doosri aankh(CAM) se munslik hae jo deh sakti hae, aur BBC, CNN, etc etc teen huroof haen jodonon aankhon ke beech maen bataur pehchaan mojud haen, kissi hadith maen ye nahin likha ke wo teen lafz maathe per hon ge, balke donon aankhon ke beech ke zikr hae! aise hi al-dollar(one dollar) bhi do aankhen rakhta hae, aik aankh andhi aur doosri dekhti hui hae, aur donon ankhon ke beech likha hae ONE(AHAD), Allahu Ahad, aur Allah ki aik Ankh nahin lehaza Dollar ki mohar az khud Dajjal(jhoot) ki mohar hae!

    ye baat mat bhooliye ke Khaatim al-Nabiyeen A.S ne hamen khabar daar kiya ke Allah ne har har Ummat ko kissi na kissi Imtihaan(fitna) se aazmaaya hae, aur ye bhi ke iss Ummat ke fitna Maal maen ho ga, lehaza iss hadith ki roshni maen maal ka fitna Dajjal ka fitna yani Dollar ka fitna hi nazar aata hae, aik azeem gustaakhi Allah ki shaan maen jo Allah ki MOhar e Azam, sona ki jaga khud ko Mohar e azam hone ka daawa kare aur saath hi ye bhi kahe ke 'in god we trust- ONE' aur saath hi khuda ko aik aankh se taabeer bhi kare, astaghfirAllah!

    Rasool Allah A.S ki ahadith ki roshini maen hum maal ke fitne se aise dochaar haen jaise pehle kabhi nahin, aur iss fitne maen Tauheed aik waziah nukta hae, Allah ne sood haraam kiya, jab ke dollar sood ki physical form hae! 100 kilo sona duniya maen kahin bhi 100 kilo hi rehta hae, magar hamara 100 ka kaghaz ka note bahir 100 nahin rehta.

    maen urdu maen apni tehqeeq pesh kar raha hun, jo 60% ke qareeb hae, baqi bhi insha Allah zaroorat parne per jald pesh karun ga.

    maen ye saath maen zaroor kahun ga ke mera iss tehqeeq maen aana, Rasool Allah ka khwaab maen Hazrat Ali ke saath mujhe aik ishaara dene ke baad aik mission ki soorat bann gya aur aik Zimmedaari bhi!

    Allah hamara haami o nasir ho aur hamari kotahiyon ko muaaf kare aur hamen haq baat ko lene wala aur batil ko thukraane wala bana de aur hamen itehaad naseeb farmaye, Aameen!

  9. #9
    habibrahet's Avatar
    habibrahet is offline Advance Member
    Last Online
    25th August 2021 @ 02:33 PM
    Join Date
    30 Nov 2008
    Location
    PaKisTaN
    Gender
    Male
    Posts
    2,041
    Threads
    140
    Credits
    69
    Thanked
    102

    Default

    dear Mr. Ahmed Irfan
    achhi baat hay tahqeeq karna.
    or sonay per suhaga yeh kay saath saath aap doosron ko faislay ki offer bhee kar rahay hain.

    mager mohtarm,
    main apni pehli baat phir repeat kar doon
    mager
    jiss line ka aap nay tazkira kiya, (i) woh line, (ii) Time Zone (iii) yeh line kis nay khenchi, (iv) Time zone kiss nay banaey. (simtain , east, west, north south, kab wajood main aaen, or yeh kiss nay banaeen)

    in sab baton ki roshni main apni baat ki wazahat karen,

  10. #10
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default Sooraj ka maghrib se nikalna aur global warming ka haath!

    QUOTE :mager
    jiss line ka aap nay tazkira kiya, (i) woh line, (ii) Time Zone (iii) yeh line kis nay khenchi, (iv) Time zone kiss nay banaey. (simtain , east, west, north south, kab wajood main aaen, or yeh kiss nay banaeen)

    in sab baton ki roshni main apni baat ki wazahat karen, :UNQUote

    al'Salaam alekum!

    Kissi cheese ki takhleeq/banaane ki taaqat siwa Allah ke kissi ko nahin, insaan cheeson ko jorr sakta hae magar bana nahin sakta.

    Hamen Allah ki Qudrat ke qanoon ne 4 simaten dee hae, ooper(north), neeche(south), dayen(right) aur bayen(left)!


    Kainaat ki har shai mustaqil taur per Tawaf/orbital rotation maen masroof hae, ye orbital rotation north pole se hamesha Tawaf wise direction maen mile gi aur south pole ki direction se clockwise! Zameen ke north pole or south pole ka taiyun iss ki polar magnetic fields se hota hae jo magnet ya compass ki madad se hota hae, aur Qudrat ke qanoonn ke mutabiq Mashriq hamesha north ki dayin aur maghrib bayin simt milta hae, iss ka taiyun suraj ke taluu hone per lagaya jaa sakta hae, magar Allah ne api nishaniyon ko Quran maen waziah taur per zikr kiya hae, ke Kaaba ka tawaf aur suraj ka mashriqse nikalna bhi aik nishani hae.

    Jab maen ne iss baat per ghaur kiya to meri tehqeeq ne mujhe dikhaya ke kainat ki har cheez Tawaf e Kaba ke ain mutabiq ghoom rahi hae, aur kissi cheez ke iss direction maen ghoomne ke liye fitrati taur per daayen haath ka istimaal hae, yani jab aap kissi cheeze ko dayin haath se ghumaate haen to wo cheez Tawaf wise hi ghoomti hae, aur jo cheez bayen haath se ghumai jaati hae wo clockwise ghoomti hae.

    Snail shells ki tehqeeq ke baad ye baat saamne aati hae ke koi bhi snail shell ya uss ka koi bhi qadeem se qadeem fossil clockwise designed nahin balke sab ke sab tawaf wise haen!

    sab ke sab planets , ye zameen, aur iss per aane waale jitne bhi whirls/bhanwar hawaai ya aabi, sab ke sab issi qanoon ke mutabiq ghoom rahe hae, north pole se Tawaf wise aur South pole per clockwise, maen Tawaf wise to anti-clockwise iss liye nahin kehta kyun ke insaan ki banaayi ghari se pehle kaiyaat ki ghariyan mojud thi aur ab bhi hae, lehaza tamaam qadeem ghariyoun ki rotation Tawafwise hae aur insaani ghari ki rotation meri nazar maen Qudrati gharion ke anti hae na ke wo jo hum kehte haen!

    Jahan tak jiss line ki baat maen ne ki, yani jiss ko time zone bhi kehte hae, to time zones to boht si haen, magar ye waali Mashriq aur Maghribmaen maen tameez ke liye bhi istimaal ho rahi hae, USA ki daryaft se pehle iss ka wajud na tha hamari taareekh maen. koi line time zone e liye banayi jaaye to aur baat hae, magar mashriq aur maghrib ki simt koi time zone ya line nahin bata sakti, iss ka taiyun sirf aur sirf Suraj ke satah e zameen per taluu aur gharoob hone ki direction se hi lagaya jaa sakta hae aur iss baat ko ignore karna qanoon fitrat ko badalne ki koshish hae.

    Dajjal ka waqt ko badalna bhi aik ehm nishaani hae, aur maen iss baat ko uss nukte se bhi dekhne ki koshish kar raha hun, kyune jab USA khud ko maghrib maen show karta hae time zone ki line kheench kar to wo hum se 12 ghante ke lag bhag peeche chala jaata hae, per jab hum Sura kahaf maen Zulqarnain ke safar ke hawale se aik aisi zameen(USA) jiss per na sirf suraj taluu hota Quran ke alfaz se balke wahan aise log bhi paye gaye jo nang badan aur jangli the(red indians), to ye baat bari saaf zahir hoti hae ke Tamim dari or colombus ka safar zulqarnain ke safar ke saath kafi mushaabihat rakhta hae mukhtalaf noiyat se. USA ko agar waqai maen mashriq maen samjha jaye jaisa ke wo hae to wo hum se 12 ghante aage hae na ke peeche, magar peeche hone se wo world markets ko bari aasaani aur araam se watch karta hae aur apne fesle karta hae!

    waisey agar magnet na bhi ho to , wo satah e zameen jahan tornadies or hurricanes tawaf wise ghoomte hae, North pole hae, aur jahan wo clockwise ghoomte hae wo south pole hae.

    Hamare jhande per chaand taara iss liye nahin ke hum chaand taare ki pooja karte hae, ye ghalat fehmi mushrikeen ki door karni chaahiye, chaand aur taara Allah ka law qabool karte haen aur sab ke sun A1law ke teht aone aone mehwar maen sirf aur sirf aik qanoon ke mutabiq ghoomte hae, wo hae Tawaf wise rotation, rotation of right hand! Ye aik aisi baat hae ke jo Ibrahim A.S ne bataur challenge apne zamaane ke kafir/firon baadshah ko challenge ki thi, Kaaba ke tawaf bhi issi nishani ke taur per chhorra gya, aur aaj NASA etc ki madad se aap jahan bhi dekhen aap ko aik hi baat nazar aye gi, There is no LAW but A1LAW and Praise is the messenger of A1law, maen ne kalma bigara nahin balke uss ki translation ki hae, Hukoomat ka saboot Hakim ke Qanoon ki mojudgi se sabit hota hae, agar do khuda hote to koi cheez to clockwise bhi ghom rahi hoti noth pole per, aur agar koi khuda nahin to koi cheez to apni marzi se clockwise ghom rahi hoti, ab jab ke har cheeze aik hi qanoon ke mutabiq ghoom rahi hae to iss se zahir hota hae ke sirf aur sirf aik hi hakim, khaliq o Malik hae sab kainaat ka! Kainaat ki har har makhlooq A1Law of A1lah/A1GOD ke mutabiq hae, siwa e UNlaw aur uss ke members ke!

    maen ne kahin parha tha ke Dajjal saari aqwaam ko aik jhande neeche ikatha kare ga, to UNlaw ke siwa koi aur jhanda nazar nahin aata!

    wa Allahu aalam!

    Jazaak Allah and i am looking foreward to more questions if u have so i may be able to answer them in light of what i been guided to by Quran and Sunnah and the modern day ilm/science!

    last but not least, Zameen kabhi bhi Allah ka hukm nahin tore ki, lehaza Suraj ka maghrib se nikalna zameen ka Tawaf wise ghooma chhorr kar clockwise ghoomna na mumkin hae, khaas kar jab ke Suraj ke Maghrib se nikalne ki aik doosri shakal bhi mumkin hae jiss per abhi hum ne ghaur nahin kiya. Global warming, baraf ke glaciers ka rooi ke pahaaron ki tarha ghaib hona zameen ke balance ko disturb kar chuka hae, Mausam badalna issi balance ki waja se hota hae, aur srdi aur garmi maen suraj ka mukhtalif jaghnon se Taluu aur gharoob hona bhi issi waja se hae. Abb aik ball, ya globe ko le kar aise ghumaaiye ke surak mashriq se nikalta ho, yani dayin haath se, phir north pole aur south pole ko flip keejiye, aap dekhen ge ke surak aik hi raat maen zameen ke ghoomna chhorre baghair suraj maghrib se nikal aaye ga. chunke Hadith ki roshni maen ye muaamala sirf aadhe din ka ho ga aur phir suraj laut jaye ga apni assal shakal maen mashriq se taluu ke liye, magar jaisa ke Sura Rahman maen hamen khabar daar kiya gya ke hum balance/tarazoo ko kharaab na karen, aur ye bhi ke Pahaar na hon to zameen hamen ke kar jhuk na pare, zameen ka jhukna bataur experiment kiya jaaye to suraj kissi bhi raat maghrib se nikal sakta hae, bar khilaaf uss tareeqe ke ke jiss maen zameen ruk kar ulta ghoomne lage!

    Agar aap Turkey ke Rumi/Darveshi/sufi raks ka baghaur jaiza len to aap dekhen ge ke ghomne ki direction sirf Tawaf wise hae aur dayan haath ooper aur baayan neeche hota hae, daye haath ki significance Quran se saabit hae, aur chunke insaan ke dayin haath per dekha jaye to 18 ka hindsa sab se waziah 3 lines maen nazar aata hae, har har pata iss duniya maen issi number se yani aik ki aik line aur baqi boht se 8 milte haen. dollar ks sign $ bhi 18 ki munasbat se rakha gya, bible maen Dajjal ki mohar ki nishani 666 hae, jo jama karne per 18 banta hae, jiss ayat maen iss nishani ka zikr hae wo bhi 18 hi hae , Akhri Nabbi ne jo Sura Quran ki Dajjal ke fitne ke khilaaf bataur hujjat pesh ki, wo bhi 18 number hae, na sirf Bible jiss ko hum ilhami kitab maante hae, balke aakhri aur mukamal ilhami kitab Quran bhi 19th aya maen jiss currency ka zikr kar raha hae(wariqa/paper) wo na sirf Bible wali nishani ki attestation karta hae balke Dajjkal ki aik aankh ka hona aur phir $$$ per hi wo nishani aur wo bhi al-dollar(one dollar) per milna aik bohat bari hujjat hae meri nazar maen, sab ehle kitaab ke liye khaas kar Aakhri ilhaami kitab waalon ke liye jin ka ass'al kaam ab aage aa raha hae, insaaniyat ko Quran ki Roshni maen iss zar(capital) ism(dari) ke soodi aur ghaasibaana nizaam se aazaadi dilaana hae!

    insha Allah!

  11. #11
    habibrahet's Avatar
    habibrahet is offline Advance Member
    Last Online
    25th August 2021 @ 02:33 PM
    Join Date
    30 Nov 2008
    Location
    PaKisTaN
    Gender
    Male
    Posts
    2,041
    Threads
    140
    Credits
    69
    Thanked
    102

    Default

    achhi tehqeeq hay aap ki, mager mujhay thori confusion ho rahi hay aap ki darj zel 2 baton main.
    ESA ibne Maryam ke libaas maen USA ibne Sood ka dhoka aik mujasime ki shakal maen! Ye mujasima Mashirq maen aik Jazeere per hae,
    and
    Kissi cheese ki takhleeq/banaane ki taaqat siwa Allah ke kissi ko nahin, insaan cheeson ko jorr sakta hae magar bana nahin sakta.

    aor aap ki iss baat ki source kaya hay?
    Hamen Allah ki Qudrat ke qanoon ne 4 simaten dee hae, ooper(north), neeche(south), dayen(right) aur bayen(left)!



  12. #12
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Translation Quran 13:16 Say: "Who is the Sustainer of the heavens and the earth?" Say: "[It is] God." Say: "[Why,] then, do you take for your protectors, instead of Him, such as have it not within their power to bring benefit to, or avert harm from, themselves?" Say: "Can the blind and the seeing be deemed equal? -or can the depths of darkness and the light be deemed equal?" Or do they [really] believe that there are, side by side with God, other divine powers that have created the like of what He creates, so that this act of creation appears to them to be similar [to His]? Say: "God is the Creator of all things; and He is the One who holds absolute sway over all that exists."

    35:40 (Asad) Say: “Have you ever [really] considered those beings and forces to whom you ascribe a share in God’s divinity, [25] [and] whom you invoke beside God? Show me what it is that they have created on earth - or do [you claim that] they have a share in [govern*ing] the heavens?” Have We ever vouchsafed them [26] a divine writ on which they could rely as evidence [in support of their views]? [27] Nay, [the hope which] the evildoers hold out to one another [is] nothing but a delusion.

    52:35 Have they themselves been created without anything ? or were they, perchance, their own creators?

    2:258 (Asad) ART THOU NOT aware of that [king] who argued with Abraham about his Sustainer, (simply] because God had granted him kingship? Lo! Abraham said: "My Sustainer is He who grants life and deals death." [The king] replied: "I [too] grant life and deal death!" Said Abraham: "Verily, God causes the sun to rise in the east; cause it, then, to rise in the west!" Thereupon he who was bent on denying the truth remained dumbfounded: for God does not guide people who [deliberately] do wrong.

    16:12 (Asad) And He has made the night and the day and the sun and the moon subservient [to His laws, so that they be of use] to you; [9] and all the stars are subservient to His command: in this, behold, there are messages indeed for people who use their reason!

    sadaq Allah al-Azeem fil Qur'an al Kareem

Page 1 of 3 123 LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 308
    Last Post: 16th February 2021, 07:02 PM
  2. Replies: 192
    Last Post: 28th January 2016, 10:44 AM
  3. Replies: 593
    Last Post: 20th November 2015, 05:06 PM
  4. Replies: 139
    Last Post: 6th September 2011, 11:57 PM
  5. Replies: 82
    Last Post: 9th December 2010, 02:58 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •