Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast
Results 13 to 24 of 26

Thread: jhoota maseeha! maseeh al-Dajjal!

  1. #13
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Lightbulb Dajjal ke fitnon ki nishaniyon se hi dajjal ki pehchaan ho gi!

    Name:  1 to 9.jpg
Views: 13018
Size:  129.0 KB

    Name:  1 to 9.gif002.jpg
Views: 2397
Size:  113.3 KB

    Name:  1 to 9.gif003.jpg
Views: 2636
Size:  147.7 KB

    Name:  1 to 9.gif004.jpg
Views: 2265
Size:  123.6 KB

    Name:  1 to 9.gif005.jpg
Views: 1316
Size:  133.6 KB

    Name:  1 to 9.gif006.jpg
Views: 1999
Size:  137.0 KB

    Name:  1 to 9.gif007.jpg
Views: 1032
Size:  140.0 KB

    Name:  1 to 9.gif008.jpg
Views: 962
Size:  127.4 KB

    Name:  1 to 9.gif009.jpg
Views: 851
Size:  89.0 KB

  2. #14
    aobatkaro's Avatar
    aobatkaro is offline Senior Member+
    Last Online
    16th February 2017 @ 02:48 AM
    Join Date
    14 Aug 2008
    Posts
    849
    Threads
    46
    Credits
    1,107
    Thanked
    11

    Default

    aap ka thread kafi malomati ha.

  3. #15
    Join Date
    08 Jan 2008
    Location
    ISLAMABAD
    Age
    37
    Posts
    1,861
    Threads
    86
    Thanked
    28

    Default

    Quote Ahmed1rfan said: View Post
    ESA ibne Maryam ke libaas maen USA ibne Sood ka dhoka aik mujasime ki shakal maen! Ye mujasima Mashirq maen aik Jazeere per hae, jazeeron ki ye chppi hui duniya ISlam aane ke 600 saal baad daryaft hui, jo New york ke naam se mash-hoor hae!
    Attachment 123837


    Mujhay America say Koi Hamdardi nahi Hai Per jab Ye Jhoot k Pulanday perhta Hoon .To majboran In k Khilaaf Bolna PErta.

    Hazrat Muhammad(S.A.W.W) Ki Aik Hadees Hai Us ka Mehfoom Likh raha Hoon kyun k Exact alfaaz mujhay Yaad nahi.
    Us Hadees k Mutabiq aakhir Zamanay main khuch Loog ayain Gay jo Quran to perhain gay Mager Quran Un k Halak Say nichay nahi utray ga,Wo khud bhi Gummrah Hoon gay Aur Dosroon ko bhi Gummrah karain gay.

    Statue Of Liberty Sirf Aik Azaadi ka Nishaan Hai jo K France Nay America KO Gift k tor per diya 1876,Aur Bas ,Yahaan To bata Nahi kahaan Kahaaan K Qalabay Us say Mila Diye gaye hain.

    Bas Qareeb hi Taha K is Mujasmay ko hi Dajjaal Khe detay Per Bach gaya.

  4. #16
    Join Date
    08 Jan 2008
    Location
    ISLAMABAD
    Age
    37
    Posts
    1,861
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    28

    Default

    Quote Ahmed1rfan said: View Post
    Firon sooraj maghrib se to nikaal sakta nahin, lehaza uss ne khud ko maghrib maen hone ka dhoka dene ke liye world map per aik line kheench di aur hum maan gaye, jab ke jahan sooraj taluu hota hae wo mashriq hota hae aur jahan gharoob ho wo maghrib. Ghaur se world map ko dekhiye aur bataiye ke USA mashriq maen hae ke maghrib maen! mujhe iss taraf tawaju Dajjal ke mashriq maen hone ki hadith ne dilwayee aur Quran maen Firon aur Ibrahim A.S ke mukaalme se bhi ye hi zahir hota hae! Ibrahim A.S ke waqt ka firon murda zinda karne ka dhoka to de saka magar mashriq o Maghrib na badal saka, hamare waqt ka firon uss se zyada chaalaak nikla hae, magar Kab tak! Sooraj NY per taluu hota hae na ke gharoob!
    Attachment 124266


    Samjhany ki Baat Hai K America Nay khud ko Magrib Main nahi khelwaya balkay Jab Ye Daryaaft Hua to logoo nay is Ko Magrib main hona Hee tasawur kiya.Aur ab tak yehi hai.

    Time Zone koi aik din main Ijaad nahi hua Tha ,Jaisa K Musooof nay Tasur denay ki Koshish ki hai K America nay Khud ko Chupanay k liye Time zone aisa banaya ,Yahaan Say He in Ki Tehqeeq ka Pool khul jata hai.
    Time zone Aik English Geographist nay Samandri safer Main asaani k liye Ijaaad kiya tha,Laikin inhoon nay Pata Nahi is ko kiya say kiya bana diya.

    In ko to Her cheez main America ki Sazish Nazer ati hai.

  5. #17
    Join Date
    08 Jan 2008
    Location
    ISLAMABAD
    Age
    37
    Posts
    1,861
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    28

    Default

    Quote Ahmed1rfan said: View Post
    Ahadith ki roshni maen Dajjal waqt maen tabdeeli laye ga, Allah hi behtar jaanta hae ke wo tabdeeli daylight saving maen ghanta aage peeche karna hae, ya USA ke 12 ghante aage hone ki bajaye 12 ghante peeche hona hae mashriq ki bajaye maghrib maen khud ko zahir kar ke, ya abhi kuch aur bhi. wa Allahu aalam. magar jahan tak Nabi PAK A.S ki baaton ki roshni maen maen samjha hun, wo ye hae ke hamen Dajjal ke fitna(imtihaan) se guzarna hae, aur wo hamen maeeshat ke naye nizam ke zariye Rabbubwiyat ka dhoka de ga, aur wo dhoka aa chuka hae paper currency, khaaskar dollar ki shakal maen, maen iss baat ko wazaahat se bayaan karun ga apne naye thread maen insha Allah. Magar kissi shakhs ka Dajjal hona ya na hona, Dajjal ke fitne ki perwi karne se hutt ke hae! asal mass'ala ye hae ke agar Allah Rabb hae to hamara trust(reserve) gld maen hona chaahiye bilkul aise hi jaise 1400 saal tak Ummat e muslima ka dastoor raha hae, kissi kaghaz ki mohar wo bhi sood ki mohar jo khuda ko aik aankh se mansoob kare aur uss aik aankh ko 'eye of providence aur all-seeing eye hone ka daawa kare to baat bari saaf hae ke, Rabb Allah hae aur Rabbubwiyat bhi ussi ki hae aur Allah ki aik aankh nahin, doosra 'all-seeing eye ka matlab al-Baseer ki aankh hae, iss roshini maen al-dollar al-daJJal hi ki mohar hae, aur iss mohar ko qabool karna hi Dajjal ki perwi hae, yahan Dajjal aik shakhs hae ya nahin, zahir hae ya chhuppa hae, iss ka koi ta'luq nahin iss baat se kyunke poori ki poori ummat ne sood ki iss mohar maen apna trust-reserve rakha huwa hae, jo ke na to sirf aik azeem dhoka hae balke Quran o Sunnat ki roshini maen Shirk se kam nahin, wo shirk jo anjaane maen huwa magar abb zahir hae!
    Day Light Saving main bhi Inhain Sazish nazer ati ,Zaberdast .
    Day light Saving Time main Tabdeeli America ki taraaf say Nahi Balkay Qudrat Nay ki hai Jo K Sadioon say hai.

    Buranay Zamanay Main Jab Clock nahi hoti thi Tab bhi loog Qanoon e Qudrat K TEhat Day light Saving kertay Thay. Dihaat K Loog AJ Bhi Anjanay main Day Light Saving KerTay .

    Day light Saving Hai kiya.

    Pakistan Ki Example lay ker Samjhnay ki Koshish kertay hain k Day light saving kiya hai.
    Allah Paak Nay Zmeen Ki Gardish aisi rakhi hai K Winter main Din Chotay Aur Summer main Lambay hotay ,Jaisa k Ap sab jantay hain k 21 dec ko sab say chota din hota hai Us k Baad 21 june tak Din Ahista Ahista Barhtay hain.21 June tak 2 ghantay ka Farq per jata hai Din k doraniye main.Phir 21 june k Baad Din phir Gradully Chotta Hona Shuru ho jata hai aur ye silsila 21 dec tak rehta hai.

    Puranay Zamany k log(Yahaan Main Khali Muslim ki Nahi sab ki baat ker raha hoon) Jab clock nahi hoti thi to Din nikaltay hi apnay Kaam Kaaj shru kertay thay Aur Din khatam hotay hi Apnay Kaam kaaj Khatam ker letay thay ,Kyun us door main Bijli to thi nahi Is liye Andhera Hotay hi wo Ghar loot atay thay.

    Main nay jo do ghantay ki tabdeeli ka zikar kiya us ki ager average nikali jaye to 1 ghanta banta hai,Yani log winter main 1 ghanta Late aur summer main 1 ghata jaldi uthtay thay.

    Ab Aa gayi Industrial Age.lfactories 7:00 bajay lagti hain aur 5:00 bajay ya jo bhi time hai us per band hoti hain.Ab electricity bhi ijaad ho chuki hai.Jo k Bohat qeemti hai aur is ki qeemat ka Andaaza Pakistanioo ko Zara Ziada Hi hai.

    Ab yer jo Clocks agay kernay k Trend tha ye bhi English scientist nay banaya Kyun k Us nay IS Qanoon-e-qudrat ka mushahida kiya.Aur us nay ye dekha k hum Thori si tabdeeli say Summer main zaya honay wala aik ghanta jo hum Zaya ker detay hain us ko utilize ker saktay hain is liye unhoon nay Clocks agaay kernay ka Tariqa ijaad kiya.Clocks ko agay pichay kerna waqat ki tabdeeli nahi balkay ye to hum nay apni Asaani k liye banyi hai.is ka Allah K muqara kerda Waqat say koi taluk nahi balkay ye Clocks ko Allah k banaye huay Waqat K sath Adjust kernay ka naaam hai.

    Hum musalmaano k liye Sharaam ki baaat hai k jo tariqa Hamain ijaad kerna chahiye tha ,Jis tariqay petr hum aj bhi amal ker rahay hain, see fajer ki Namaaz ka waqat Automatic Tabdeel hota hai.Aur jab Kisi aur nay ye ijaad kiya to hum logoon nay pata nahi is k qalabay kahaan tak milaa diye hain.

    Meri tamaam Members say Guzarish hai K kisi ki bhi Baat per ankhain band ker na aitbaar karain Balkay Khud TEhqeeq karain aur Logical reasons ko hi Khatir main layain.

  6. #18
    Join Date
    08 Jan 2008
    Location
    ISLAMABAD
    Age
    37
    Posts
    1,861
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    28

    Default

    Quote Ahmed1rfan said: View Post
    Firon sooraj maghrib se to nikaal sakta nahin, lehaza uss ne khud ko maghrib maen hone ka dhoka dene ke liye world map per aik line kheench di aur hum maan gaye, jab ke jahan sooraj taluu hota hae wo mashriq hota hae aur jahan gharoob ho wo maghrib. Ghaur se world map ko dekhiye aur bataiye ke USA mashriq maen hae ke maghrib maen! mujhe iss taraf tawaju Dajjal ke mashriq maen hone ki hadith ne dilwayee aur Quran maen Firon aur Ibrahim A.S ke mukaalme se bhi ye hi zahir hota hae! Ibrahim A.S ke waqt ka firon murda zinda karne ka dhoka to de saka magar mashriq o Maghrib na badal saka, hamare waqt ka firon uss se zyada chaalaak nikla hae, magar Kab tak! Sooraj NY per taluu hota hae na ke gharoob!
    Attachment 124266
    Why America Is in West:

    Musoof nay Intihahi saadgi say logoon ko apni Brilliantt tehqeeq batayi hai k America East main hai.
    Ab is ka Jawaab bhi per lain shahid ap ki tehqeeq main izafa ho jaye.
    Aur Haaan Main ye baar baar Khe raha hoon k Mujhay America say Koi Hamdardi nahi.Per Yahaan Baat sach ki .


    Japaan ko Chartay suraj ki Sarzameen kyun khetay hai.aur America ko Magrib kyun khetay hain?

    1300 A.D say phelay tak Teen Bar-e-Azam Asia ,Africa,Europe ye teeno sath juray huay thay aur Charoon taraf Samander tha.log Zameen ko flat samjhaty thay aur Infinite bhi.Log Behri jahaaz ko bhi Samander main ziada agay lejanay say dertay thay.Kyun k un ko maloom nahi tha k agay kiya .America Daryaaft nahi hua tha to log Mojooda america aur Africa k Darmyaani Samander ko Behr-e-Zulmaat khetay thay kyun k un k Mutabiq Africa per Zameen khatam ho jati thi.agay Wasih Samander tha.

    Laikin Phir ye Daryaft hua k Zameen gool hai.To Columbus wo phela aadmi tha jis nay India Dhoondnay ki Garz say Behr-e-Zulmaat ki taraf Say india Pohachnay ka Faisla kiya kyun k us ka kyaal tha k Yahaan say Bhi India Pohancha Ja sakta hai.

    Jab us nay Safr kiya to wo Bajaye India k Bar-e-Azam America Pohanch gaya.kyun k Us waqat tak koi nahi janta tha k yahaan bhi aik Bar-e-Azam hai yoon America Daryaaft hua,aur Baqi khanani Ap sab jantay ho.

    Jab tak America Daryaafat nahi hua tha us waqat tak Japan ko East Aur Africa ko west khetay thay.America Daryaaft hua TO usay West khaha janay laga is ki bhi waja hai.

    Ager hum japaan say apna Safar shuru karain aur ye maan ker chalain k Yahaan Say Khuski ka Silsila shuru hota hai.Japan say khuch Faslay baad ap ko Aisia milay ga ,us k sath hi Africa aur Sath hi Europe.agay Khuch hi Faslay per Khushki ka Akhri silsila hai jisay America khetay hain aur phir aik Bohat bara Samnder hai.

    America West hi hai kyun k America aur Africa k darmyaan APP.2200 km ka Distance hai,Aur America aur japaan k Darmyaan 8800Km App. Distance hai.
    Is tarha America Africa say ziada Nazdeek hai Aur West khelanay ka Haqdaar hai.

    Aakhri baat ye k Ye jo ap nay America Ko East sabit kernay ki koshish ki hai,ye sirf Is kiye thi k Ap America Ko Dajaal Sabit ker Sakain.To Dear.

    1) Pheli baat ye k America Kisi Banday ka Naam Nahi hai.

    2) Sec ye K Dajjaal Iraan k City Asfahaan Say niklay ga.According to Hadith.

  7. #19
    Join Date
    08 Jan 2008
    Location
    ISLAMABAD
    Age
    37
    Posts
    1,861
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    28

    Default

    Ye Her Cheez ko ko kheench khaaanch ker aik hi tarafa lay ataay hain ye Ye Aisi baatain jin ko Koi moo sir nahi in main koi haqeeqat nahi.
    Ye Jo ayat main say aik lafaz naikaal k apna ulu sidha kiya jaa raha hai kiya ye Mazaak hai.Quraan k sath.Ye Gumrahi nahi to aur kiya ,K QUran kisi aur cheez ki bat ker raha hai aur ap is ko Kiya banaa rahay hain.

    Her cheez ki aik limit hoti hai.Dollar main aik Daira bana hua hai to us ko Dijjal ki Ankh bana diya hai.Kabi maerica Mashriq main hai.Kabhi kiya kabhi kiya .Kiya hai ye.

    Oh Bahi ye Kagaz aik medium of exchange hai.Kyun tum ko her baat main Sazish nazer ati hai.Sona ko Currency say is liye hathaya gaya hai k Aik to ye Precious metal hai aur dosri Kam Dastiyaab ap ko kis nay khe diya k Sona her jaga milta hai.
    Porana door aur tha.Aj k door main Economy itni Grow ker chuki hai jis ki Waja say Majboran Paper currency layi gayi kyun k is ka Hold kerna asaan hai.
    Aur ap kis zamany main ho Ab to credit Money bhi aa gayi hai.Islaam ye nahi kheta k koi nayi cheez na ijaad karo Balkay purani hi kertaty raho.Ye ISlam Nay kab kaha hai K Paper currency nahi Use kerni baqool ap k ap to khud khe rahay ho k k Ashab-e- kehaf khud Warqa Use kertay rahay hain.Is Ayaat main To Allah nay Kahain nahi kaha K warqa Use kerna maan hai. Balkay yahaan to ap ko samjhna chahiye k Allah Khud ap ko Bata raha hai k Werqa Use kernay main koi Burayi nahi wo to Ashaab-e-Kahaf bhi use kertay rahay hain.

    Attached Images Attached Images  

  8. #20
    Join Date
    08 Jan 2008
    Location
    ISLAMABAD
    Age
    37
    Posts
    1,861
    Threads
    86
    Credits
    0
    Thanked
    28

    Default

    Ab Main Ja raha hoon Meray Papers hain 12 sep Ko INSHA ALLAh is thread ko phir Visit karoon ga.Allah Hafiz.

  9. #21
    aobatkaro's Avatar
    aobatkaro is offline Senior Member+
    Last Online
    16th February 2017 @ 02:48 AM
    Join Date
    14 Aug 2008
    Posts
    849
    Threads
    46
    Credits
    1,107
    Thanked
    11

    Default

    انسان جس چیز کی تلاش میں لگ جائے یا تو وہ چیز اس کو مل جاتی ہے یا وہ اس کو ڈھونڈ نکالتا ہے ۔ ہم سب دجّال کے پیچھے پڑ گئے ہیں لگتا یہ" مصیبت و فتنہ "جلد ہی ہمیں مل جائے گا ۔ حالانکہ اس سے بچنے کی دعا مانگنی چاہیئے ۔

  10. #22
    aobatkaro's Avatar
    aobatkaro is offline Senior Member+
    Last Online
    16th February 2017 @ 02:48 AM
    Join Date
    14 Aug 2008
    Posts
    849
    Threads
    46
    Credits
    1,107
    Thanked
    11

    Default

    انسان جس چیز کی تلاش میں لگ جائے یا تو وہ چیز اس کو مل جاتی ہے یا وہ اس کو ڈھونڈ نکالتا ہے ۔ ہم سب دجّال کے پیچھے پڑ گئے ہیں لگتا یہ" مصیبت و فتنہ "جلد ہی ہمیں مل جائے گا ۔ حالانکہ اس سے بچنے کی دعا مانگنی چاہیئے ۔

  11. #23
    Superboy's Avatar
    Superboy is offline Advance Member
    Last Online
    19th November 2023 @ 06:25 PM
    Join Date
    05 Mar 2009
    Gender
    Male
    Posts
    2,955
    Threads
    114
    Credits
    1,456
    Thanked
    87

    Arrow

    agree
    .

  12. #24
    Ahmed1rfan's Avatar
    Ahmed1rfan is offline Member
    Last Online
    13th April 2010 @ 02:36 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Posts
    156
    Threads
    13
    Credits
    1,000
    Thanked: 1

    Default

    Quote Arabian.Paki said: View Post

    Mujhay America say Koi Hamdardi nahi Hai Per jab Ye Jhoot k Pulanday perhta Hoon .To majboran In k Khilaaf Bolna PErta.

    Hazrat Muhammad(S.A.W.W) Ki Aik Hadees Hai Us ka Mehfoom Likh raha Hoon kyun k Exact alfaaz mujhay Yaad nahi.
    Us Hadees k Mutabiq aakhir Zamanay main khuch Loog ayain Gay jo Quran to perhain gay Mager Quran Un k Halak Say nichay nahi utray ga,Wo khud bhi Gummrah Hoon gay Aur Dosroon ko bhi Gummrah karain gay.

    Statue Of Liberty Sirf Aik Azaadi ka Nishaan Hai jo K France Nay America KO Gift k tor per diya 1876,Aur Bas ,Yahaan To bata Nahi kahaan Kahaaan K Qalabay Us say Mila Diye gaye hain.

    Bas Qareeb hi Taha K is Mujasmay ko hi Dajjaal Khe detay Per Bach gaya.
    al Salaam alekum, jiss Hadith ka aap ne zikr kiya hae wo check karna to net hote huwe nayahat hi aasaan kaam hae, aur phir uss to post karna bhi, magar chunke aap ke liye kissi baat ko jhoot ka palanda keh dena bila tehqeeq kafi nazar aata hae, lehaza maen aap ki kuch madad kar deta hun.

    Hadith Bukhari ki hae
    009.093.651 - ONENESS, UNIQUENESS OF ALLAH (TAWHEED) - - - -

    Narrated Abu Sa'id Al-Khudri

    The Prophet said, "There will emerge from the East some people who will recite the Qur'an but it will not exceed their throats and who will go out of (renounce) the religion (Islam) as an arrow passes through the game, and they will never come back to it unless the arrow, comes back to the middle of the bow (by itself) (i.e., impossible). The people asked, "What will their signs be?" He said, "Their sign will be the habit of shaving (of their beards). (Fateh Al-Bari, Page 322, Vol. 17th)

    maen umeed karta hun ke aap daarhi shave karne ke aadin nahin insha Allah. aur ye bhi ke agar kisi agli post maen maen shave karne waalon ko issi hadith ki roshini maen deen se aari keh dun to ye na ho aap uss ko bhi jhoot ka palanda keh den!

    Doosri baat ye ke azaadi ke jiss Mujasime ki aap baat kar rahe haen, uss mujasime ke haath maen aik kitaab hae, jo tamaam adyaan aur ilhami kitabon ka inkaar karti hae, ye kitaab America ka constituion hae. Aik momin ke liye ye baat smajhna kafi hae ke ye Mujasima Dajjali(jhoote) nizam ki taraf daawat de raha jo Allah ke bheje huwe deen aur un ki tamaam ilhami kitabon se aur tamaam ikhlaaqi aqdaar se aazadi ki nishani hae aur mat bhooliye ke aurat leader nahin ho sakti Rasool Allah ke farmaan ke mutabiq, ab aap ki marzi hae ke aap iss mujasime ko sacha aur aik Musalmaan ko jhoota keh den!
    bhooliye mat, Dajjal ki perwi maen auraten kafi aage aage hon gi hadith ki roo se, aur aaj nazar aa raha hae ke kyun kar!

    Issi statue ke haath maen jo kitab hae uss per aik taareekh kunda hae, 4th July 1776, ye kuffr ke nizam ke aaeen ke wajud maen aane ke saath saath 12 Amreeki states ke uss naye nizam maen shamooliat ki taareekh hae ke jab in hi baara states ke 70'000 yahudi bankaaron nae sona ki jaga dollar ki kaghazi mohar ko currency ke taur per qabool kiya. Iss mujasime ki kitaab per jo taareekh kunda hae, wohi taareekh aap ko dollar ki aik aankh ke neeche bhi kunda nazar aaye gi.

    Jaane aap ko meri tehreer o tehqeeq maen aur kuch nazar kyun nahin aaya, magar aik baat kafi saaf saaf nazar aa rahi hae aap ki post se, aap ne jiss mahaarat se Kuffr ke mujasime ka difa karne ki koshish ki hae, uss se yehi zahir hota hae ke aap ke dil maen kaafi hamdadri hae jhoot ke liye aur iss ki waja yeh nahi ke aap emaan waale nahin balke ye ke Dajjal ka dhoka aisa ho ga ke uss ko log emaan waala samajh bethen ge!

    magar aap ki posts ka sad bar shukriya, mujhe beyaan karne ka moqa mil jaata hae.

    wa Salaam alekum!

Page 2 of 3 FirstFirst 123 LastLast

Similar Threads

  1. Replies: 308
    Last Post: 16th February 2021, 07:02 PM
  2. Replies: 192
    Last Post: 28th January 2016, 10:44 AM
  3. Replies: 593
    Last Post: 20th November 2015, 05:06 PM
  4. Replies: 139
    Last Post: 6th September 2011, 11:57 PM
  5. Replies: 82
    Last Post: 9th December 2010, 02:58 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •