Bhoole raston pe jana zaroori nahi
Ab usay aazmana zaroori nahi
Laut ata hun usko agar dekh loon
Laut aye zamana zaroori nahi
Ik ishara hi kafi hai usne kaha
Dastanein sunana zaroori nahi
Uski batein ke tehreer ho rait par
Saad Un ko mitana zaroori nahi
Tu hi to rehta hai unwan e behas
Ab wahan aana jana zaroori nahi
Bookmarks