Jan k zayan ko gham ki talafi samjh liya
kam houslon ne mout ko shafi samjh liya
jo guftago main sab se zarori tha'wo sukhan
unki sama'atoun ne ezafi samjh liya
ek shart-e-justajo bhe thi manzil k waste
ham ne bas aarzo ko he kafi samjh liya
khud-dari-e-juno main in aankhoun ne teray baad
ashkon ko bhe wafa k manafi samjh liya
Jazib na jane kaun se duniya ka shaks tha
jis ne sazaoun ko bhe maafi sajh liya
Bookmarks