Hum kahan aur tum kahan jaana
Hain kayee hijr darmiyaan jaana
Raayegaan wasl mein bhi waqt hua
Par hua khawab raayegaan jaana
Mere andar hi tu kaheen gum hai
Kiss se poochhoon tera nishan jaana
Aalam-E-Baikaraan-E-Rang hai tu
Tujh mein thehroon kahan khan jaana
Roshni bhar gayee nigaahon mein
Ho gaye khawab bay amaan jaana
Ab bhi jheelon mein aks parrtay hain
Ab bhi neela hai aasmaan jaana
Hai jo pur khoon tumhara aks-e-khayaal
Zakhm aaye kahan kahan jaana....!!!
Bookmarks