apni pyaari dost ke naam
karay jab tazkra koi
karay jab tabsra koi
tumhari zaat ko khojay
tumhari baat ko sochay
mujhay achha nahin lagta
suno achha nahin lagta
tumhari muskrahat per
hazaron log martay hon
tumhari aik aahat per
hazaron dil dharktay hon
kisi ka tum pe youn marna
mujhay achha nahin lagta
suno achha nahin lagta
hawa guzray tumhen chhoo ker
na ho ga zabt yeh mujh se
karay gustakhiyan tum se
mujhay achha nahin lagta
suno achha nahin lagta
k tum ko phool bhi deakhen
tumharay pass woh mehkain
ya chanda ki guzarish ho
k apni roshni bakhshoon
rukh-e-janan koi daikhay
mujahy achha nahin lagta
mujahy achha nahin lagta
kyun ke ye huq srif mera hai,
sheri raja
Bookmarks