Aik soorat naei banata hai
Phir mujhay aaiyna bulata hai
Roshni ho gaei hai badal mein
Kya koei maahtaab aata hai
Shaakh parr barf sa safed gulaab
Dhoop parnay pe jagmagata hai
Dekhna yeh hai intazar ki shaam
Kon abb kiss ko aazmata hai
Haath tera, meri hatheli parr
Jaisay koei diya jalata hai
Zindgi mukhtalif nazar aaei
Khwab mein koei muskurata hai
Pehlay aahat sunaei deti thi
Abb to saya mujhay darata hai
Raat dinn ka hisab kon rakhay
Dard aata hai, dard jata hai
Khenchti hai zamien apni taraf
Jabb mujhay aasman bulata hai
Bookmarks