Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai

Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

Woh Shamme Haram Jis Se, Munawwar Hai Madinah
Kaa'bey Ki Qasam Ronaqe, Kaa'bah Bhi Wohi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

Us Shahr Mein Bik Jate Hain, Khud Aake Kharidar
Yeh Misr Ka Bazaar Nahin, Shahre Nabi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

Nazaron Ko Jhukae Huey, Khamosh Guzar Jao
Betaab Nigahi Bhi Yahan, Be Adabi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

Is Arze Muqaddas Pe, Zara Dekh Ke Chalna
Aey Qafile Walon Yeh, Madiney Ki Gali Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

Haqq Iska Ada Sirf, Jabinon Se Na Hoga
Aey Sajda Guzaro Yeh, Dare Mustafawi Hai
Har Waqt Tasawwur Mein, Madiney Ki Gali Hai
Ab Darbadari Hai Na, Gharibul Watani Hai

Iqbal Mayn Kis Munh Se, Karun Madhey Muhammad
Munh Mera Bohat Chota Hai, Aur Baat Bari Hai