ik sham kabhi ayo hum tum ko btayin gy
Kitna hai dard e dil tum ko dikhayin gy
Sham ki tareeki mein tum ghabran mat
Roshni k liye dil apna jalayin gy
Phir rat ho jaye gi chand nikal aye ga
Phir chand k oopar badal chha jayin gy
Rat tham jaye gi na aansoo thamin gy
Rona hy muqaddar me tumin na rulayin gy
Wapis jub jayo gy na dekhna murh kar
Dil ghabraye ga par mil nahi payin gy
ALI ki baton mein kuch bat nahi ayisi
Bus pyar karty hen youn hi mar jayin gy
Bookmarks