shahid bahi sawal tho bada hee gehra hai
isliye samander ki thay thak doobna ho ga
may tho sirf itna keh sakthi hoon kay padhthay waqt tho mujhay do minute kay liye aisa laga kay shayad aik jumla hai jisay kisee nay waqt kay sath compare kiya ho
laikin jub socha tho aisa laga kay ye such much haqeeqat hai
apna tho nahi keh sakthi laikin baishtar khawateen ki zindagiyon ka jaiza liya tho yehi jawab hasil hua jo shumaila nay bakhoobi samjaya
mujhay aik dafa meri khala nay kaha tha kay " aurat aik shopper may band aisee cheez hothi ahi kay jisay zara see tais pohonchay tho wo shopper say bahar a jaye"
ab ye jumla bhi apnay may aik dunya samaitay huey hai laikin may isay ziada thashreeh nahi karoongi pehlay say abhi thak shahid bhai ka jumla hazam nahi hua tho mera kaisay hoga
baharhal topic pay athi hoon kay shayad yeh jumla aurat ki izzat means repect kay baray may bathaya gaya ho kay izzat aik aisee cheez hothi hai jisay aik bar insan kho day tho shayad us maqam ko pir hasil na kar sakay
yeh tho mera khayal hai laikin shayad utna acha na keh saki jitna shumaila jee nay farmaya
or shumail jee hats off to u
nice sawwal shahid bahi keep it up
Salam
Aurat Maa ki shakal main,Beti ki shakal main,Bewi ya Behan ki shakal main hamesha sab k liya khuch na kuch karti hi aai hai aisi main wo nahi janti k us k phchan kia hai?
wo sirf aik maa,beti,behan ya bewi hoti hai bas.......apna aap jany k liya us k paas time hi nahi hota aur jab time milay to sochnay ka daur khatm ho chuka hota hai////
m i rite
As a girl main ye hi janti hon k main aik behan hun,beti hun aur bas.....
is k ilawa meri koi pehchan nahi hai.....
Woman is the name of sacrifice who dont know how can she live for herself
Assalam-o-Alykum!
Yar yeh khwateen jawab q nahi de reheen.?
nice sharing
Bookmarks