Aata hai yaad mujhko guzraa hua zamaana
Wo nanhi nanhi taangein bheega hua pajama
Aazaadiyan kahan wo hain ab apnay ghar ki
Apni khushi se peena apni khushi se khaana
Kya badnaseeb hun main basant ko taras raha hun
Saathi to hain chaton par main qaid mein para hun
Iss qaid ka ilaahi dukhra kise sunaaun
Dar hai ke imtehaan mein main fail ho na jaaun
Lo aayi basant guddian logon ki urr rahi hain
Main iss andharay ghar mein PAPER ko ro raha hun
Aazad mujhko kar de O qaid karne waalay
Main baazubaan hoon qaidi par be-zubaan bana hun
Bookmarks