chupke chupke rat din uska bartan manjvana yaad hai
humko ab tak kaprey doney ka woh Zamana yaad hai
dopeher ki dhoop mein kaprey sukhaney ke liye
woh mera kothey pe bhi nangey paoon jana yaad hai
Aa gaya jab sunday ki shab bhi kabhi zikr-e-shopping
woh mera meri biwi se, ATM card chupana yaad hai
saas sasur ki doston ab kya sunaon dastaan
susraal na janey ka mujhey har ik bahana yaad hai
daru pee ke jab bhi ghar mein aana para mujhey
woh mera dantoon taley, illaichi chabana yaad hai
dekh liya jab bhi kabhi rastey mein kisi dusri ladki ko
Biwi ke gussey ko dekh ker mera tartharana yaad hai
waqt-e-rukhsat office, Ab bhi yaad aata hai Mujhay
biwi ke purse se car ki chabi churana yaad hai
second show dekh kar woh mera raat ko ghar der say Ana
Biwi ka gussay se darwaza na kholna yaad hai
Jub Kabhi Itifaqan taway pey roti jal janay per
woh mera tere belan se sir phurwana yaad hai
Jub kabhi tuj se teree umar poochnay per woh tera duppatay mein
Sharmana aur 34 ko 17 bata tey huey muskurana yaad hai
Apni umar chupanay ke liye woh tera munnay ko peetna
Aur Tujhe Mummy nahi baaji bulanay ko kehna yaad hai
haftey baad hi muhh utha ker meikey chaley jana tera
aur mera ghar mein jharoo pochaa lagana yaad hai
khench lena woh tera salary ka lifafa dafataan
aur tera beautyparlor pe woh passey urana yaad hai
yaad hai begum ab bhi woh tera belan se mujhey peetna
aur baad pitney ke tera woh marham lagana yaad hai
aaye din saaley saaliyoon ka aana ghar pe mere
woh tera unkey samney mujhey murgha banana yaad hai
shukar hai meri shaadi nahi hui abhi
shaadi shuda Yaroon ka woh, rona rulana yaad hai !!
Bookmarks