Results 1 to 8 of 8

Thread: what is WIFI,3g,edge

  1. #1
    mahmoodsani is offline Member
    Last Online
    24th April 2013 @ 08:58 AM
    Join Date
    12 Aug 2009
    Location
    mandi bahudin
    Posts
    77
    Threads
    10
    Thanked: 1

    Smile what is WIFI,3g,edge

    some body explain me k ye wifi,3g aur edge konsi services hain.in k honay ka kiya faida hay aur na ho nay ka kiya nuksan hay.ye kaisay avail ki ja sakti hain.aur in say mutalik kisi k pas koi tip ya trick ho to wo b share karay..dosto in important words k baray main detail say batana......there are many who dont know about it

  2. #2
    Join Date
    23 Aug 2008
    Location
    Riyadh,Saudia Arabia
    Posts
    3,323
    Threads
    220
    Credits
    965
    Thanked
    137

  3. #3
    Join Date
    23 Aug 2008
    Location
    Riyadh,Saudia Arabia
    Posts
    3,323
    Threads
    220
    Credits
    965
    Thanked
    137

  4. #4
    Join Date
    10 Jun 2009
    Age
    38
    Posts
    432
    Threads
    10
    Credits
    1,259
    Thanked
    25

    Default

    WIFI

    Sab Se Pehlay To Main Ap Ko Yeh Batata Chalun Ke Wi-Fi hai kiya, Yeh Aik Wireless Local Area Network, Is network ki aik range hoti hai. Is range ke ander users is network se wirelessly connect ho kr internet use kr saktein.

    Jo users is network se connect hona chahtay hoan un ke pass aesi device honi chahiye jis main WiFi Enabled ho, Yeh devices ap ki Mobile Phones bhi ho saktein hai, Loptops bhi even Mp3 Player bhoi Jab user apnay aesay device ki WiFi enable karta hai to wo device WiFi Networks scan kartein hain aur us ke baad WiFi network ki list de detin hain, sath main yeh bhi batatein hain ke in ki signal strength kiya hai. Phir user jab ksi network ko select krta hai to Ap ki device WIFI network se connect krnay ki kooshs krti hai jis per mostly WEP key( Wireless Equivalent Privacy) mangi gati hai. Agr user WEP key correct de de to ap ki connectivity WIreless LAN se ho gati hai. Ab ap internet use kr saktay hain.

    Aese locations jis main ap internet use kr saktay ho Wirless Lan se connect ho kr un ko HOTSPOT kehtay hain. Mostly HOTSPOTS universities, Airports wagera hotay hain. Ap ne simple kia karna hai aese HOTSPOT per jana hai aur WIFI network se connect hona hai agr ap ko WEP key pata hai to.

    Ab WIFI Connectivity aur coverage ke peechay antennas hotay hain. e.g meri university main computer lab walaon ne antenna lagaya hua jai jis ki waja se main apni unversity ke ander ander laptop ke zarye WIFI Network se connect ho kr internet use krskta hun!

    WIFI network laganay se pehlay bohat sarey parameters hotay hain, kiyu ke jahan bhi Wireless Network main security ko bohat bohat properly maintain krna hota hai!

    3G

    3G ko 3rd Generation bhi bola gata hai... jis tarhan hum loogo ne processor ki generation banaye hui hain na Pentium-1, Pentium-2, Pentium-3, Pentium-4 isi tarhan hum loog wireless technology ko bhi mukhlatif generations hotein hain 1G 1st Generation, 2G 2nd Generation, 3G 3rd Generation, 4G 4th Generation.... In main sab se latest jo hai wo 4G hai jo ke officially launch honi hai..

    Ok Har Generation main Technologies hotein hain..

    .1G main hamarey pass analog technologies thein

    .2G main hamarey pass digital technologies aa gaein, GSM bhi 2G ke ander ati hai

    .3G main kuch aese aur technologies laein gein jis main hmaraey pass bandwidth zeyada thi, ap video calls kr saktay thea, example technology UMTS hai jis main ap voice aur data dono aik sath use kr saktay ho

    .4G main jo concept deya geya hai wo ALL-IP ka hai.. is main zeyada acha data rate milta hai, video calling, IP TV, MMS ap use kr saktay ho "Anytime", "Anywhere"....

    To 3G kiya hai basically 3rd Generation aur is main aik acha data rate acheive ap kr saktay ho.. main aik example ke sath ap ko samjana chahun ga ap ke pass mobile hai ap us main net use krtay ho downloading kr rahay ho aur downloading krtay wqt ap ke pass call aa jaye to ap ka internet thori deer ke leye hold per chala gata hai aur ap ki downloading pause ho gati hai jb ap call end krtay ho phir wo resume ho gati hai..... yani ke ap downloading aur phone calls aik wqt sath main nahe kr saktay ksi ko hold per jana ho ga... agr 3G technology UMTS use kro to ap dono service Data & Voice ko sath use kr saktay ho... koe bhi service hold per nahe jaye gi... Aur 3G technologies ap ko acha Data Rate provide krtein hain

    EDGE

    Edge bhi aik technology jo ke GPRS ki enchanced form hai... har wo network jo GPRS per chal raha hai wo EDGE per shift ho sakta hai bus thori si modifications required hotein hain network main.. ab Edge ka faida kiya hai.. Edge GPRS se kafi acha data rate provide krta hai.. !!

    Remember me in ur prays
    Regards,
    MS TELECOMMUNICATION SYSTEMS
    BSCS HONORS
    CCNA & MCP CERTIFIED

  5. #5
    mahmoodsani is offline Member
    Last Online
    24th April 2013 @ 08:58 AM
    Join Date
    12 Aug 2009
    Location
    mandi bahudin
    Posts
    77
    Threads
    10
    Credits
    0
    Thanked: 1

    Default

    very nice info...likin kuch bato ki detail mazid faraham karain..agar main apanay n70 ko adge main lana chaho to konsi modification karni parain g.aur kaisay.
    aur no.2

    wifi ki key kaisay pata key jaye,is k ilawa aap nay ye nae bataya.wifi device ki price kiya hoti hay isko pc main kaisay use kiya jaye

    but that info was great...jo mazid pocha hay wo b bata dain thanks

  6. #6
    Join Date
    10 Jun 2009
    Age
    38
    Posts
    432
    Threads
    10
    Credits
    1,259
    Thanked
    25

    Default

    Uhmm.. Brother jahan tk Wep Key Crack krnay ki bat hai.. Yahan is kisam ki sharing allowed nahe but Aik user ne is barey main question poocha tha to main ne us per aik bohat detail reply deya tha ke kiyu WEP key easily crack ho gati hai.... us ka link de raha hun, I hope ke ap ko kuch na kuch idea ho jaye ga

    http://www.itdunya.com/showthread.php?t=107017

    Ap ne dosra question poocha ke WiFi Device/Antenna ki price kia hoti hai, yeh to vendor specific hai... mgr aesa nahe hota ke main ap ko bata don aur ap wo hi antenna purchase kr lo... basically jis area ko ap coverage dena chah rahay ho ap ko usi ke hisab se Antenna lena prta hai.....

    Ap ka 3rd Question about EDGE, brother EDGE Network Operator Imoplement krta hai.. Warid, UFone, Zong yeh sab operators hain... e.g ap ke pass Telenor hai aur ap Defence main hain aur ap ke pass mobile main signals aa rahay hain to ko Defence ki "BTS SITE" handle kr rahi hai... BTS SITE ko ap samaj lo GSM antenna; theek agr to Telenor walaon ne us SITE main Edge configure kiya ho ga then u will be getting EDGE on ur mobile ap kud se configure nahe kr saktay.......

    AP ne last main kaha ke Main ap ko detail bataon,, brother... GOOGLE your queries...

  7. #7
    mahmoodsani is offline Member
    Last Online
    24th April 2013 @ 08:58 AM
    Join Date
    12 Aug 2009
    Location
    mandi bahudin
    Posts
    77
    Threads
    10
    Credits
    0
    Thanked: 1

    Default

    ok thanks brother.....i appreciate ur effort

  8. #8
    Join Date
    03 Jan 2006
    Posts
    6,398
    Threads
    203
    Credits
    1,641
    Thanked
    1581

Similar Threads

  1. Edge Circle for Note & S6 Edge v1.2
    By fantap in forum Softwares
    Replies: 0
    Last Post: 14th November 2015, 12:27 AM
  2. Replies: 36
    Last Post: 5th February 2013, 01:16 PM
  3. Solved Edge Usb
    By hameed88 in forum Solved Problems (IT)
    Replies: 7
    Last Post: 30th June 2011, 03:16 AM
  4. Help for jaz edge...
    By asdz in forum Mobile phones problems and Help Zone
    Replies: 1
    Last Post: 12th March 2011, 06:38 AM
  5. edge on n70
    By Numangumbat in forum Ask an Expert
    Replies: 1
    Last Post: 18th November 2009, 12:36 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •