Aie Maut zara Dheere se aa
Ek kaam zara sa baki hai
Unko ek khut likhna hai
paigham Zara sa baki hai
Wo na samjhe main tha be-wafa
Unka entezar bhi ker na suka
Marne se pahle Ek bar
Ekrar jara sa baki hai
Eltiza mera manke thoda sa
waqt de de khuda
Meri prem kahani ka
anjam zara sa baki hai
Mujhe apna dard batane de,
ek naghma mujhko gane de
Sanam ke dard ka naghma hai,
jara unko sunane de
jo Ghum her roj piya maine ,
wo jaam zara sa baki hai
Unhen to ye bhi na pata k
sanse kuchh hi baki hain
Jo aate the unhen milne ko
wo aansu bhi kuchh hi baki hain
Wo abtuk nahi aaye milne,
zara sa ek deedar baki hai
Ab tuk to wo be-wafa na kahe ,
abhi eljaam zara sa baki hai
Bas unko ek khut likhna hai,
Paigham Zara sa baki hai....!!!
Bookmarks