"nazar har nazar se milati rahi hoon,
har kisiko apna banati rahi hoon,
naya zakhm jab bhi ujaagar hua hai,
zakhm har poorana mitaati rahi hoon,
siyahi keh kar jab bhi taalti rahi hai,
ujala jahan ko dikhati rahi hoon,
khijaao ne kitni hi koshish ki lekin,
yeh gulshan main phir bhi sajati rahi hoon,
waqt ne ki kitni zafaye magar main,
waqt se bhi hardum nibhati rahi hoon,
dard-e-dil hamesha satata raha par,
zamane ko phir bhi hasati rahi hoon,
sahara kisine bhi na diya kabhi,
mukaam apna khud main banati rahi hoon.....
Bookmarks