Agar poocha k mujhse kaam kiya hai, kiya kahoonga main,
Kaha us kaam ka anjaam kiya hai, kiya kahoonga main ?
Mujhe pehchaan ne se usne gar inkaar kar daala,
Agar poocha k tera naam kiya hai, kiya kahoonga main ?
Payami ban k jaaon main bicharne ka to kiya boloon,
Agar poocha tera paighaam kiya hai, kiya kahoonga main ?
Khushi ka din kisey kehte hain main ye to batadoonga,
Agar poocha ghamon ki shaam kiya hai, kiya kahoonga main ?
Main us k munh par usko bewafa kehne ko keh to doon,
Agar poocha tera anjaam kiya hai, kiya kahoonga main ?
Adeem usko bura kehna mujhey acha nahi lagta,
Agar poocha tera ilzaam kiya hai, kiya kahoonga main ??..**
*****Shayad ye mera aakhri thread hai is forum main*****
Bookmarks