Results 1 to 6 of 6

Thread: =!=!MEri KuCh ShAyAri CoLLeCTioN!=!=

  1. #1
    doorie's Avatar
    doorie is offline Senior Member+
    Last Online
    9th May 2019 @ 02:54 AM
    Join Date
    23 Feb 2007
    Posts
    189
    Threads
    48
    Credits
    0
    Thanked
    5

    Red face =!=!MEri KuCh ShAyAri CoLLeCTioN!=!=

    MERI KUCH SHAYARI AGAR APP SAB KO PASAND AAYE TU REPLY KAR DIYE GA
    Is dil mein tumhaari yaadon ki roshni to rehne do ...
    Jaane kis more pe jindegi ki shaam ho jaye ...



    Hum to pyaar ke saudagar hai ...
    Sauda sachcha karte hain ...
    Agar aap saamne ho ...
    To bin daam beek jate hain ...



    Mere dil ki awaz agar sun sako ...
    To forward se kya kaam ? ...
    Nafrat ko bhi muhabbat ka shyer suna de ...
    Aise ashique hai hum ...



    Aapki maujudgi ka ehsas hi kaafi hai ...
    Lafjon ki gunjaish hi kahan aata hai ? ...



    Shayraana ada kise kehte hai ? ...
    Aankhon ke pyalon se chhalke huye do bund aansu ...
    Dil ke panno se bikhre huye kuch shabd ...
    Aur mann ke ayne me sambhale huye chand chehre ...
    Jab dard-e-jaam ke sath parosein jai ...
    Tab use hi yeh duniya ek shyer kehta hai ...



    Dil ki baat agar yeh dil samajh sake ...
    Tab jake koi baat ho sahi ...
    Par aap use shabdo ke dhanche mein na dhal sake ...
    Tab bhi woh lafjon ki nakaami to nahi ...




    Kal raat mere khyabo mein aane ka shukriya ...
    Magar bara ke gaye aap meri bechainiya ...
    Kal to mujhe bhi KAASH kehna para tha ...
    Kyunki jab bhi dekha aapko, bas aapka nakab hi nazar aaya ...






    Char saal pehle karvan samajhta tha jise
    aaj jake pata chala ... manzil hi kehna tha use
    is sishmahal ki charo aur phaila
    chhor ja rahan hoon bas meri yaadon ki sishe

    manzil ki talash me kabhi karvan na pakra
    hume to manzil pahonchke hi karvan mila
    khud ki talash me gujre yeh char saal
    ab to khatam hi hone chala yeh suhana silsila

    is dastan ko kaise bayaan karun mein
    kitni raatein bitayi maine iski liye jaage
    yaadon ki roshni itni tez hone lagi
    ki shabd bhi uske age phike parne lage

    azaadi ki umang jagaye firta raha yeh hawa
    jheel ki lehron mein yeh man tyarnewala
    bandini dil ki zanzeerein bighlayein jo
    is zameen pe hi hai woh kamarshala

    par ei mere dil ... is hawa ki rukh ko pehchano
    jheel ke pani mein uthe huye lehron ko jaano
    is mandir ki eent-kath-pathar pe mat jao
    bhitar base bhagwan ko apne andar samao
    rukhe sukhe kahanio se zara muh to phero
    is haseen ghazal mein bas yaari ka hi saaz chhero

    yaari ki bandish me jhume beet gaye kitne pal
    jab bhi gir pare ... ake kaha koi ... meri baha thame chal
    class notes to nehi tha khusi ya gham mera
    firvi share kiya harwakt ... kisine kabhi muh na phera

    log kehte hai ... aapni jakhm khula na chhorna
    kyunki sabhi mutthi me namak liye firte hain
    are yahaan namak kharidne ka paise kahan milenge?
    log to pyaar ki marham se apna jeb bhar lete hain

    hazaaron khwaishein leke aye the hum yahaan
    jindegi bhi shuru hui meri yahaan ake
    kwaishein kuchh adhuri reh gaye hain zaroor
    darta hoon ... ruk na jaaye jiwan bhi yahaan se jake

    is mahaul me aadat si par jati agar ...
    chhor bhi sakte the woh aadat
    aadat ke aarh me kya jaam pi liya ...
    aab is nasha ke bagyar jiye kaise yeh kambakth

    dil ki baat aur kise batayen hum
    sabhi kehte hai ... jao baki jiwan sawaaron
    mere dil me bas gunjta rehga yeh sach
    ki mein to jindegi yehin chhor chala yaaron






    Tumhaari adayon se
    Aaj mere dil ne jo hai chaein khoya
    Pata na chala mujhko ki
    Abtalak jo khoya tha sab laut aaya
    Shayaar to nahi tha mein pehle
    Hai tumne mujhe bhi bigaar ke rakh diya !
    Rahem ki ummeed to nahi thi tumse
    Ek julm-e-shaam hi ki baas khwaish thi
    Ek shaam ke badle tumne to mera jivan hi girvi rakh liya !!!
    Removed Not Allowed:Team ITD

  2. #2
    doorie's Avatar
    doorie is offline Senior Member+
    Last Online
    9th May 2019 @ 02:54 AM
    Join Date
    23 Feb 2007
    Posts
    189
    Threads
    48
    Credits
    0
    Thanked
    5

    Default

    Mein tujhe yaad karte huye bhi darta hoon
    aur apni kahani sunate huye bhi darta hoon

    pehle to gham bujhane ko pi leta tha jaam
    aajkal khud ko pilate huye bhi darta hoon

    tu paas aye to kahin bhadhak na uthe gham mera
    ab to tujhe paas bulate huye bhi darta hoon

    ankhon ke kone se kahin tu na beh jaaye
    aajkal khud ko rulate huye bhi darta hoon





    Mere saath dagaa kiya kisne?
    woh mera saaya hi to hai
    mera haath chhodh diya kisne?
    woh mera saaya hi to hai

    tune mera ghar bhula diya
    to kya hua bekhabar
    mujhse mera pata puchha jisne
    woh mera saaya hi to hai

    teg pakadhke mere samne aate
    na sharmaana mere dost
    tere haath yeh teg thamaya kisne?
    woh mera saaya hi to hai

    meri arthi uthane kabhi bulawaa aaye
    to samajh lena
    tujhe mere akhri mehfil me bulaya jisne
    woh mera saaya hi to hai






    Are dost ... raah ki duriyaan na napo ...
    pehle apne humsafar ko to dekho ...
    raah kitni bhi dur le jaaye tumhe ...
    bas pichhe murne ki himmat chahiye ...
    phir dekhna mera yaar ... raah duri barati hai zaroor ...
    par asal me to bani hai duriyaan mitane ke liye ...







    Roz tujhe yaad kiya karta hoon
    bas man hi man mein
    tere liye aahen bhara karta hoon
    bas man hi man mein

    kabhi to meri baahon mein hogi aye nazneen
    yehi soch ke baahen phailaya karta hoon
    bas man hi man mein

    kab paregi mere dwar pe dastak tera
    isi ummeed se darwaje khula chhorta hoon
    bas man hi man mein

    ekdin zaroor uthegi rukh se nakab tera
    usi ek pal ko har roz jiya karta hoon
    bas man hi man mein

    mere baahon meri teri simatna kab manjoor ho
    soch ke hi teri zulfein sawaaran karta hoon
    bas man hi man mein

    duri to hai bahot teri daaman aur mere baahon mein
    par roz yeh duriyaan mitayaa karta hoon
    bas man hi man mein







    Mere jiwan ka ek hissa ban gaya hai tu
    Yaadon mein base huye mera saaya ban gaya hai tu

    Baras padi jab shakh-e-gul se akhri phul
    Ei dost, sukhe patte banke saath niva gaya hai tu
    Sulaghti jiwan-dhup mein tadap raha tha main
    Tab bhi banke ghata rahat ka paani barsa gaya hai tu

    Faslein darmiyaan jab bhi badne lage hamare
    Rah mein pichhe chalke bhi duriyaan mita gaya hai tu
    Intezar to thi mujhe bas ek sachche dost ki
    Ek ke badle hazaaron yaar banke pass aaya hai tu
    Nakaam jindegi ki jab bandh hone chali paathshala
    Dosti ka anmol paath pada gaya hai tu











    Yaadein teri rula jati hai har pal
    hansna bhi kahin bhul rahan hoon main
    jitna bhi sata jati hai yaaden teri
    unhi ko bas gale se laga rahan hoon main

    soya tha kabse main teri baahon mein
    jagne se bhi dar lagne laga tha
    suraj ki kirne ko tunehi bula liya ghar mein
    ab dhire se akhen khol raha hoon main

    jindegi ki har sitam ko utha lete hain log
    maut se phir mujhe kaisi yeh dar
    maut ko to kab se gale laga chuka hoon
    ab jinda rehna hi sikh raha hoon main









    Dil se majboor hoon main ...
    jabaan ko rokun to kaise ...
    ap se bichhar ke itni duur ...
    jiyaa jai bhi to kaise ? ...


    Jine pe to bandish na thi ...
    tumhe dekhne se pehle ...
    maut ko kaise ab ane doon ...
    tumse milne se pehle ? ...



    Jiwan geet adhura chhorke hum ...
    mehfil se uth nahi paye ...
    hala to khatam ho chuki kabke ...
    par maykhane se nikla kaise jaye ? ...



    chalo adhuri baat ko khatam karte hain ...
    ya phir ise rehne do wahin ...
    ho sakti hai yeh baat adhuri ...
    par dubara milan ki ye bahana hi sahi ...

















    Dil ki baatein dil mein chhupyae jay to kaise ...
    upaaay to hogi koi par sikha na jaaye aise
    tumhaari baaton ne dil ke raaz se parda hata diya
    khud ke upar se tumhare liya hata raha tha jaise















    Tum jo aye ho mere jindegi mein ...
    Aaye kayse koi duja ...
    Maykhane jo gaye to bas saki se milne ...
    Aab talak hala ko nehi puja ...
    Lab to sil chuka kabke meri ...
    Imtehan-e-pyaar me bas chup hi rahe ...
    Kitab haat mein thama diya tumne ...
    Aaj bhi par koi jawab nahi sujha ...















    Shaam-e-jindegi se mulakat na hone paaye
    Haal-e-dil kabhi bayaan na hone paaye
    Aye aftaab-e-jaan meri jaan-e-man
    Mujhse tu kabhi judaa na hone paaye
    Andaaj is ashique ka zara hatke hai
    Yaadon se teri yeh dil ruksaat na hone paaye
    Imtehan-e-ishq barbaad kar jaaye gham nahi
    Tamanna rahegi bas is dil mein ki
    Aarjoo milan ki phir bhi kam na hone paaye















    Aarjoo jo thi dilme hamari
    Raab ne kaise woh jaan liya
    Unse bacha ke rakha tha yeh raaj
    Naam to raaj ko usne hi de diya
    Intezaar janam bhar ka
    Maano khatam hone ko hai
    Aaj se jindegi bas tumpe hi nichhawar kar diya

  3. #3
    doorie's Avatar
    doorie is offline Senior Member+
    Last Online
    9th May 2019 @ 02:54 AM
    Join Date
    23 Feb 2007
    Posts
    189
    Threads
    48
    Credits
    0
    Thanked
    5

    Default

    Sagar jaise ankhon mein ... kahin yeh maan kho na jaye
    amanat hai yeh dil tera ... kahin dharakna bhul na jaye
    samay ko behne de jitna hi dhire yeh behna chahe
    wada hai tumse milanka ... intezaar mera thaak na jaye
    aadat si par gayee hai jaise tumhari yeh masumiyat
    tum jitna bhi badal jao ... masoom chehra kahin chhup na jaye
    ek baar sun le jamana yeh ashiquana dil ki pukaar
    ek baar phir ji uthe muhabbat ... pagal yeh dil kahin sudhar na jaye













    Nind kho gaya ankhon se mere ... ab to jagne laga hoon main
    Imtehan hai kaisa yeh muhabbat ... ab to darne laga hoon main
    Badalon se age hai jo jannat ... talash tha kabse mujhe uska
    Ek pal jo bita li tumhari agosh mein ... ab use bhi bhulne laga hoon main
    Dar to tha maut se hume bhi ... aur sab ke hi tarah
    Ikraar-e-dil ho chuka tumse ... ab maut se bhi beparwa ho gaya hoon main
    Tarannum-e-jindegi sikh raha hoon tumse ... aye meri dilruba
    Ab ji rahan hoon to bas tumhare liye ... jindegi ki adaat chhor rahan hoon main













    Muhabbat kise kehta hai ye jamana ...
    ... ek haseen si sach ya bas ek fasana
    gham-e-ashiqui se hi pyar ho jisko ...
    ... hai muskil bahot us dil ko samjhana
    bahon mein teri simat jane de ise ...
    ... agosh-e-ishq se pehchan to ho jaye
    labz nakaam bhi ho bayaan-e-dil mein ...
    ... ishq-e-gul kahin mehekna bhul na jaye
    kitni sadiyaan beeti, khali tha ye jaam ...
    ... aahat se teri phir rangin hua maykhana













    Teri baahon mein jindegi phir se khaas hai
    pyar ka jaam uthalu phir aisi ek pyaas hai

    maut ko chahkar bhi bula na saka kabhi
    tere liye mujhme ab bhi baki yeh saans hai

    jo mangna hai mang le mujhse jaan-e-man
    aaj to tujhpe yeh jaan bhi dene ki aas hai

    bas tere liye hi ji uthta hai jo dilbar har roz
    baki jag ke liye to yeh bas ek jinda laash hai

    bas dil ki khwaish kabhi na rakhna mujhse
    woh to kabse sambhala kisi aur ke paas hai













    Aye naye saal bata ... tujhme nayapan kya hai ?


    Naye saal mein jindegi ki shuruyat nayi hai
    dil ke kone mein jaise koi aahat nayi hai

    mehsus kare jo dil to pyar purana hi sahi
    par us pyar pe phir se dil-e-barbaad nayi hai

    waise agar dekho to badla nahin kuchh bhi
    bas naye saal se jindegi ki mulakat nayi hai

    jindegi gujarti hai humse kuchh puchhe bagyar
    bas is jindegi se hamari shikayat nayi hai

    phir bharega yeh dard wohi ghazal ki marham se
    par thik se parkhon to har ek rubaiyat nayi hai

    karbaten to badalte rahenge ek aur saal bhar
    ab to bas agli saal ki intezaar hi nayi hai















    Kabhi maut se jindegi ka saudah na kar saka
    jinda rehne ka honsla bhi paidah na kar saka

    jindegi se umeed kuch jyada hi laga liya tha
    bas us umeed ka kimat adah na kar saka

    doli uth rahi thi teri mere aankhon ke samne
    kosish ki bahot par dil se bidah na kar saka

    chale to gaye maykhane dil ki aag bujhane ko
    par nadaan is dil se aag ko judah na kar saka

    tujhe bhulane ki aarjoo thi bahot dil mein, lekin
    kaise karoon woh kaam jo khudah na kar saka

    aasan tha tujhpe jaan dene ki kasam khana
    magar tere saath jeene ka wadah na kar saka















    Raab se ki duya bahot ... bhulado hume gham-e-jindegi
    ho sake to bas woh pal ... woh akhiri shaam-e-jindegi
    usne maan li duya aakhir ... sirf teri yaadon ko chhodkar
    dil mein basake yadein teri ... uthali phir jaam-e-jindegi















    Gujre huye har pal bas yaadein ban jaati hai ...
    tujhse duur hun magar teri saansein chali aati hai ...

    hoga kya koi nassebwala mujhse badkar ...
    jiske dil ko teri har baat satayi jaaati hai ...


    kaisa rishta jodh liya hai yeh dil bewafa ...
    ki wafa faroshi ke naam se bhi dar lagne lagti hai ...

    aise rishte ko kisi aur naam se hi sahi ...
    par zamana hamesha ise yaad kiya karti hai ...














    Aye dil-o-jaan mere ... kabhi mujhpe bhi taras khaya karo
    duniyaan ki parwa chhodo ... kabhi mere gali bhi aaya karo

    sukhe pade hai kabse mere aankhon ke pyaalein ...
    zaalim yaad banke hi sahi ... kabhi inko rulaya bhi karo

    dil ki jaagir swonp diya hai tumhari haaton mein ...
    bas duur se parkhon maat ... kabhi gale se bhi lagaya karo

    bahane dhund lete ho jine ka na jaane kahan se ...
    meri baat maano to ... kabhi mere liye bhi jiyaa karo















    Bahot dino se tujhse pyaar ki baatein nahin hoti ...

    mere in haaton me samayi teri haatein nahin hoti ...

    din to gujar jaatein hai duniya ki mehfil mein ...

    par teri agosh mein beetane wali raatein nahin hoti ...

  4. #4
    cute_charming786 is offline Senior Member+
    Last Online
    26th July 2011 @ 01:16 AM
    Join Date
    29 Dec 2005
    Location
    ~*~Live in yOur
    Posts
    3,449
    Threads
    146
    Credits
    955
    Thanked
    0

    Default

    Wow.........
    kia bat hai janab
    bohat hi nice poetry
    shukria.................

  5. #5
    IT.BOY's Avatar
    IT.BOY is offline Senior Member
    Last Online
    17th November 2017 @ 12:13 PM
    Join Date
    26 Dec 2007
    Location
    *MAA KI AGOOSH*
    Gender
    Male
    Posts
    28,374
    Threads
    651
    Credits
    998
    Thanked
    3079

    Default

    بہت اچھی شیئرنگ کی ہے آ پ نے
    شکریہ
    [FONT="Jameel Noori Nastaleeq"][CENTER][COLOR="Blue"][SIZE="5"][B]Coming Soon...:)[/B][/SIZE][/COLOR][/CENTER][/FONT]

  6. #6
    inaam1's Avatar
    inaam1 is offline Senior Member
    Last Online
    22nd May 2019 @ 03:45 PM
    Join Date
    10 Jul 2010
    Location
    ال&
    Age
    46
    Gender
    Male
    Posts
    7,710
    Threads
    409
    Credits
    111
    Thanked
    531

    Default

    واہ جی واہ بہت ہی محنت
    کی ہے آپ نے
    شکریہ
    کیا بات ھے جی آپ کی

Similar Threads

  1. Replies: 38
    Last Post: 23rd February 2011, 10:18 AM
  2. !!!!!!!!!!!shayari Collection!!!!!!!!!!!!!!
    By doorie in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 4
    Last Post: 26th November 2010, 10:41 PM
  3. Meri Shayari
    By reemy in forum Introduction
    Replies: 12
    Last Post: 6th April 2010, 11:05 PM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •