Ha karo matam hussain ka azadaro

Paro Kalma Nabi ka Ka Musalmano

Ha Karo Matam Husain ka azadaro X 5

Denn Ne Maula Shabbir Ko di sada

Amma Zehra Ke Markaz se Rukhsat Hua

Lab Par Naame Khuda Dil me Thi Qarbala

Din Bhi Gharmi Ke The Saath Bachcho Ka Tha

Fir Bhi Marne Wo Chala Masalmano

Ha Fir Bhi Marne Wo Chala Masalmano

Ha Karo Matam Husain ka azadaro X 3

Shaih Ke Hamraah Thi Bibiya Betiya

Nawzawa Saath the tha saath tha Bezuban

Hai kis Shaan se who hue the rawa

Ek bimar leti rahi hichkiya

Shore mataam utha tha musalmano

Ha Shore mataam utha tha musalmano

Ha Karo Matam Husain ka azadaro X 3

Do Muharram ko qarbobala Aa Gaye

Alqama ke karare jo khaime lage

Ashkiya ne kaha Aakar shabbir se

Apne Khaime yaha se utha lijiye

Waqt kya Aa gaya tha musalmano

Ha Waqt kya Aa gaya tha musalmano

Ha Karo Matam Husain ka azadaro X 3

Khatm qarbobala Me larayi Hui

Saari fauze khuda khak par soo gai

Aai Shaame Gariba Raha Na Koi

Fitrate Mustafa Sue Zindan Chali

Nange sar hai musalmano

Ha Nange sar hai musalmano

Ha Karo Matam Husain ka azadaro X 3

Hai Bazare Kufa Ka who marhala

Beteya thi mohammad ki jab be rida

Gir ke naako se Bacho ki thi ye sada

Alwida Madare Gamzada Alwida

Aasman Ro Raha tha Musalmano

Ha Aasman Ro Raha tha Musalmano

Ha Karo Matam Husain ka azadaro X 3

Mere sajjad boli ye binte ali

Zaanti hai mujhe shaam ki har gali

Khaak urha ke mujh ko na dekho koi

Yeh tha zainab ka nawha Masalmano

Ha Yeh tha zainab ka nawha Masalmano

Ha Karo Matam Husain ka azadaro X 3

Bole Sajjad Hatooh me zanjir hai

Be ridai fufi Ab to taqdir hai

Sabr aale Mohammed ki Jagir hai

Hum hai Aale Nabi bas Yeh Teksir Hai

Keh ke Ye Ro Diya tha Masalmano

Ha Keh ke Ye Ro Diya tha Masalmano

Ha Karo Matam Husain ka azadaro X 3