Koi to aansoun main rehta hai,
Chup ke in paniyon main rehta hai,
Dil ki tanhaae ka kafan orhey,
Rooh ki khilwatoun main rehta hai,
Roz chehra badal ke dekh leya,
Phir bhi wo aaeno main rehta hai,
Chodween raat taara tootey to ,
Aasman hairatoun main rehta hai,
Koun janey siyasatain dil ki,
Piyar kin sazishoun main rehta hai,
Zab't behtar hai phir bhi waqt-e dua,
Wo meri hichkeyoun main rehta hai,
Sookh bhi jaae gul kitaboun main,
Phir bhi dil khushbooun main rehta hai.
~~~~~*****~~~~~
Bookmarks