Jo bhoolti bhi nahin yaad bhi nahin aatin
Teri nigah ne kyon woh kahaniyan na kahin
Yunhi sa tha koi jisne mujhe mita dala
Na koi noor ka putla na koi zehra jabin
Yeh narm-o-sakht- kalami ki bahas la haasil
Dil garib se baatein kisi ki uth na sakin
Hazar shukr ke mayoos kar diya tune
Yeh aur baat ke tujh se badi ummiden thin
Bookmarks