ashk aaNkho me kab nahii aataa
lahuu aataa hai jab nahii aataa
hosh jaataa nahii rahaa lekin
jab vo aataa hai tab nahi aataa
dil se ruKhasat huii koii Khvaahish
giriyaa kuchh be-sabab nahii aata
ishq kaa hausalaa hai shart varnaa
baat kaa kis ko dhab nahii aataa
jii me kyaa-kyaa hai apne ae hamdam
har suKhan taa ba-lab nahii aataa
By:
Meer Taqi Meer~!
Bookmarks