ZaKh'm ko phool to sar sar ko sabaa kehte hain
Jaane kiya daur hai kiya loug hain kiya kehte hain
Kiya qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale
Ab wohi loug hamain aabalaapaa kehte hain
Koi batlaao ke ik um'r kaa bichra mehboob
Ittifaaqa'n kahin mil jaaye to kiya kehte hain
Ye bhi andaaz-e-suKhan hai ke jafaa ko teri
Ghamzaa-o-ishwaa-o-andaaz-o-adaa kehte hain
Jab talak door hai tu teri parastish kar le'n
Hum jise chhu na sake'n us ko Khudaa kehte hain
Kiya ta'ajjub hai ke hum ahl-e-tamannaa ko "Faraaz"
Wo jo mahroom-e-tamannaa hain buraa kehte hain...**
~~~~~<<<<<>>>>>~~~~~
Bookmarks