Ye kiya muqaam hai vo nazaare kaha'n gaye
Wo phool kiya hue wo sitaare kaha'n gaye
Yaaraan-e-baz'm-e-jurr'at-e-ri'ndaanaa kiya hue
Un mast a'nkheriyo'n ke ishaare kaha'n gaye
Ek aur daur kaa wo taqaazaa kidhar gayaa
Umre'n hue wo hosh ke dhaare kaha'n gaye
Uth uth ke baith chuki gard raah ki
Yaaro qaafile thake haare kaha'n gaye
Betaab tere dard se thi chaaraagar "Hafeez"
Kiya jaaniye wo dard ke maare kaha'n gaye....**
~~~~~<<<<<>>>>>~~~~~
Bookmarks