Dosto 1st of all tou sab ko mera salam.

Dosto main nay aap sey aik baat photoshop k hawalay sey poochni thi. Dosto main jab Inpage main kuch poetry ya kuch bhi likhne k baad photoshop main apni poetry ko compose karne k baad jab Save karta hoon aur save karne k baad jab us poetry ko ya compose shuda file ko open karta hoon tou us k pixel phat jatay hain aur poetry ya wo file bohat madham madham nazar aati hai, kiya aap main sey koi expert mujhe koi trick photoshop k hawalay sey bata saktay hain k poetry save karne k baad us k pixel na phatain. aur poetry bilkul usi andaaz main Save ho jaye jis tarah Save karne sey pehlay Photoshop main numaayan hoti hai.......?