kash hum tum bhi ajnabi hotay
jistraha aur loug hotay hain
bayganon say latalluk say
kash hum tum bhi ajnabi hotay
jis tarah aur loug hotay hain
na tasadum na bandishain hotin
dil main chahat na khuwahishain hotin
na wafaoon k silsilay hotay
na mohabbat k faaslay hotay
phir na hotin shikayatain tum say
youn na miltin aziyatain tum say
bayqarari na bay khudi hoti
youn shikista na zindagi hoti
choor hota na aaina dil ka
koi lamha na hota mushkil tha
hum na miltay teri nigahon say
youn na dochaar hotay aahon say
kash hum tum bhi ajnabi hotay
jis tarah aur loug hotay hain
bayganon say la talluk say
kash hum tum bhi ajnabi hotay
jis tarah aur loug hotay hain
kar k tujh say wafa mila kya hai
too nay ghum k siwa diya kya hai
kitna afsurda kitna tanha hoon
apni dewaangi pay hansta hoon
kash hum tum bhi ajnabi hotay
jis tarah aur loug hotay hain
bayganon say la talluk say
kash hum tum bhi ajnabi hotay
jis tarah aur loug hotay hain
Bookmarks