Apni rusawaae tere naam ka charcha dekhon
Ik zara shair kahoon aur main kiya kiya dekhon
Neend aa-jaae to kiya mehfile'n barpa dekhon
Aa'nkh khul jaae to tanhaae ka sahara dekhon
Shaam bhi hogae dhu'ndhala gaee aa'nkhen bhi meri
Ek bachche ki tarah se use ha'nsta dekhon
Mujh pe chha jaae wo barsat ki khushbo ki tarah
Ang ang apna usi rut main mehikta dekhon
Tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
Ji main aata hai koi aur bhi tujh saa dekhon
Main ne jis lamhey ko puja hai usey bas ek baar
Khuwab ban-kar teri aa'nkhon main utarta dekhon
Tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat
Jaane kiyon tere liye dil ko dharakta dekhon....**
~~~~~<<<<<>>>>>~~~~~
Bookmarks