Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 12 of 16

Thread: *~ Wasi SHAH ~*

  1. #1
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default *~ Wasi SHAH ~*

    WASI SHAH KI KUCH GHAZALS AP DOSTON K LIYE

    ~*~Last call~*~

    Kal hamesha ki tarha usne kaha ye phone par,
    me bohot masruf hu, mujko bohot se kaam hain,

    is liyay tum aao milnay , may to aa saktee nahi,
    har reevaayat torr kar is baar may nay keh diya,

    tum jo ho masruf to may bhi bohot masruf hun,
    tum jo ho mash-hur to may bhi bohot maroof hu,

    tum agar gham-geen ho, may b bohot ranjor hu,
    tum thakan se choor to me b thakan se choor hu,

    jan-e-mann hay waqt mera b bohot hee qeemtee,
    kuch pooraanay doston ne milnay aana hay abhi,

    me bhi ab faarigh nhi, mujko bhi laakho kaam hain,
    warna kehne ko to sab lamhe tumharay naam hain,

    meri ankhen b bohot bojhal hyn, sona hay mujhay,
    rat-jago k baad ab neendo may khona hay mujhay,

    may lahoo apnee aanaaon ka bahaa sakta nahi,
    tum nhi aateen to milnay may bhi aa sakta nahi,

    us ko yeh keh k WASI! may nay receiver rakh diya,
    aur phir apnee ANAA k paaoon pe sarr rakh diya!!

    Wasi Shah

    ************************************************** ********
    Meray Mola!
    Aaj zara is taptay din ko
    thanda ker day
    chota ker day
    isay ghata day...
    badal k tukray say kehh ker
    barish ker day
    bondain aayen
    Poan chalay
    or suraj guzray jaldi se
    maghrib Aajaye...
    meray malik!
    aaj bhi us nay
    meri khatir
    MUJH KO PANAY KI CHAHAT MAIN
    TERA ROZA REKHA HAI....

    Wasi Shah

    -------------------------------------------------

    tum merii aaNkh ke tevar na bhulaa paao gay,
    un kahii baat ko samajho gey to yaad aaon ga,

    ham ne Khushiyon ki tarah dukh bhi ikathay dekhe,
    safaah-e-ziist ko palato gey to yaad aaon ga,

    isii andaaz mein hote the muKhaatib mujh se,
    Khat kisii aur ko likho gey to yaad aaon ga,

    sard raaton ke mahakatey huey sannaaton mein,
    jab kisii phool ko chuumo gey to yaad aaon ga,

    ab tere ashk main honthon se churaa letaa huN,
    haath se Khud inhen ponchho gey to yaad aaon ga,

    shaal pahanaaye gaa ab kaun disambar mein tumhein,
    baarishon mein kabhii bhigo gey to yaad aaon ga,

    aaj tum mahafil-e-yaaraan pe ho maGaruur bahut,
    jab kabhii TuuT ke bikharo gey to yaad aaon ga,

    haadase aayenge jiivan mein to tum hoke niDhaal,
    kisii diivaar ko thaamo gey to yaad aaon ga,

    is mein shaamil hai merii baKht ki taarikii bhii,
    tum siyaah rang jo pahano gey to yaad aaon ga..!!!

    Wasi shah

    --------------------------------------------------------------
    ~*~Masrofiyat~*~

    Kul humesha ki tarhaan us ne kaha yeh phone per,
    Main buhat masroof hoon mujh ko buhat se kaam hein,
    Is Liey tum aao miLney' Main tao aasakti nahi,
    hur riwaayut toor ker is baar main ne keh diya,
    tum jo ho masroof to main bhi buhat masroof hoon,
    Tum jo ho mash'hoor to main bhi buhat maarof hoon,
    Tum thukun se choor tao main bhi thukun se choor hoon,
    Jaan-e-mun hai waqt mera bhi buhat hi qeemti,
    kuch puraney doston ne milney aana hai abhi,
    main bhi ab farigh nahi mujh ko laakhoon kaam hain,
    warna kehne ko to sub Lumhey tumahre naam hain,
    meri ankhein bhi buhat bhojhaL hain soona hai mujhe,
    ratjaghaoon k baad ab neendon mein khoona hai mujhe,
    Main Laho0o apni anaao0on ka baha sakta nahi,
    Tum na Aaye miLney to main bhi aasakta nahi,
    Us ko yeh keh ker 'Wasi' Main ne rasivur rukh diya,
    aur phir apni Anna k paoon pe sir rukh diya ...

    Wasi Shah

    ------------------------------------------------------------
    ~*~Supurdagi~*~

    AAJ WO MUDDAT BAAD AAI BHI,
    BAS YE KEHNE,
    JAANA!
    MERE SAARE KHAT LAUTADO,
    SAB TASVEERAIN, QALAM, KITAABAIN,
    WAAPIS KAR O SAARE TOHFE,
    MUJH SE SAB KUCHH MAANGNE WAALI,
    JAATE JAATE,
    MERE KAMRE KI CHOKHAT PAR,
    CHHOR GAI HAI,

    "APNA AAP"

    (WASI SHAH)

    ----------------------------------------------------

    Mujhe Har Kaam Say Pehlay,
    Sehar Say Shaam Say Pehlay,

    Yehi Eik Kaam Karna Hai,
    Tumhara Naam Lena Hai,

    Tumhi ko Yaad Karna Hai,
    Kay Jaab Bhi Dard Pena hai,

    Kay Jab Bhi Zakham Seena Hai,
    Ghum-e-Duniya Say Gabra kar,

    Mujhe Jab Jaam Lena Hai,
    Tumhara Naam Lena Hai,

    Tumhi Ko Yaad Karna Hai,
    Tumhari Yaad Hai Dil Main,

    Kay Eiik Sayad Hai Dil Main,
    Koi Barbad Hai Dil Main,

    Ussay Abaad Karna Hai,
    Tumhara Naam Lena Hai,
    Tumhi Ko Yaad Karna Hai..!

    Wasi Shah

    ---------------------------------------------------------
    Dukh Dard Kay Maron Say Mera Zikar Na Karna,
    Ghar Jao Tu Meray Yaron Say Mera zikar Na Karna,

    Woh Zabt Na Kar Pain Gay Ankhoon Kay Samadar,
    Tum Guzaroon Say Mera Zikar Na Karna,

    Pholon Kay Nasheman Main Raha Hoon Sada Say,
    Dekho Kabhi Kharoon Say Mera Zikar Na Karna,

    Shahyad Yeh Andehray Hi Mujhe Rah Dikahin,
    Ab Chaand Sitaroon Say Mera Zikar Na karna,

    Woh Meri Kahanai Ko Galat Rang na Dey Din,
    Afsnana Nigaroon Say mera Zikar na karna,

    Shahyad Woh meray Haal Pay Bey Sakhta Ro Diin,
    Iss Baar Baharoon Say mera Zikar Na karna,

    Lay Jain kay Gehrai Main Tum Ko Bih Baha kar,
    Darya Kay Kinaraoon SAy Mera Zikar Na Karna,

    Woh Shaks Milay Tu Ussay Har Baat Batana,
    Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikaar na KArna.!!

    Wasi Shah

    -------------------------------------------------------------

    teri yaadon sey kya nahin seekha???
    bey sabab to naa thi teri yaadein
    teri yaadin sey kya nahin seekha???
    zabt ka hosla barha leyna
    aansuo'n ko kahin chupa leyna
    kanpti dolti sadaao'n ko
    chup ki chaadar sey dhaanp kar rakhna
    bey sabab bhi kabhi kabhi hansna
    jub bhi ho baat koi talkhi ki
    mozu e guftagu badal deyna
    bey sabab to nahin teri yaadein
    teri yaadin sey kya nahin seekha???

    Wasi Shah

    ----------------------------------------------------------

  2. #2
    Nahid's Avatar
    Nahid is offline Senior Member+
    Last Online
    22nd June 2013 @ 12:02 PM
    Join Date
    06 Aug 2009
    Location
    ALLAH ki panha main
    Gender
    Female
    Posts
    12,059
    Threads
    905
    Credits
    960
    Thanked
    2774

    Default

    thanks ...very nice sharing...good collection ....

  3. #3
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default thx

    Quote nahid said: View Post
    thanks ...very nice sharing...good collection ....
    passand karne ka shukriya thanks

  4. #4
    thbkallar's Avatar
    thbkallar is offline Advance Member
    Last Online
    2nd November 2022 @ 01:44 PM
    Join Date
    17 Oct 2008
    Location
    The Land of Legends
    Age
    39
    Posts
    833
    Threads
    184
    Credits
    1,337
    Thanked
    37

    Default

    great sharing

    keep it up
    Hazrat Muhammad S.A.W said Duniya mein agar 4 cheezain tumharay paas hon to tumhein nuqsan nahi hoga Sachi Zaban' Amanat Dari' Khush Ikhlaqi' Rizq-e-Halal'

  5. #5
    Aasi_786's Avatar
    Aasi_786 is offline Advance Member
    Last Online
    2nd February 2024 @ 10:00 PM
    Join Date
    14 Jan 2008
    Location
    Islamabad
    Posts
    19,001
    Threads
    2012
    Credits
    1,386
    Thanked
    1109

    Default

    bohat umdha sharing hai ...!!

  6. #6
    AtiqRaj29's Avatar
    AtiqRaj29 is offline Senior Member
    Last Online
    21st January 2018 @ 04:44 PM
    Join Date
    10 Nov 2009
    Location
    Sukkur,Sindh,Pakistan
    Age
    32
    Posts
    3,980
    Threads
    151
    Credits
    823
    Thanked
    199

    Default

    Bohot achi Shairing ki hai......

    [CENTER][IMG]http://i46.tinypic.com/ddou9z.jpg[/IMG]
    [/CENTER]

  7. #7
    FRS. Is Back is offline Member
    Last Online
    5th March 2010 @ 04:47 PM
    Join Date
    30 May 2009
    Location
    سنذ SINDH
    Age
    34
    Posts
    1,953
    Threads
    75
    Thanked
    203

    Default

    Hmm Nice.. Shearing.. Thnaks

  8. #8
    saifi88 is offline Senior Member+
    Last Online
    8th December 2010 @ 05:00 PM
    Join Date
    16 Apr 2009
    Location
    AAP KE DIL MEIN
    Age
    43
    Posts
    6,513
    Threads
    28
    Credits
    990
    Thanked
    247

    Default

    Thanks 4
    nice sharing.........

  9. #9
    mhafeez is offline Member
    Last Online
    9th June 2010 @ 01:40 PM
    Join Date
    30 Aug 2009
    Location
    *~Aawaara Baadlou'n main~*
    Posts
    3,778
    Threads
    287
    Thanked
    239

    Default

    Bahut umda aur piyari sharing ki hai apne bro...thx for ur gud shg.....**

  10. #10
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default

    Quote thbkallar said: View Post
    great sharing

    keep it up

    bohat shukriya brother passand karne ka....

  11. #11
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default

    Quote Aasi_786 said: View Post
    bohat umdha sharing hai ...!!
    thank u soo much brother boht shukriya passand karne ka..

  12. #12
    BARi_Bhatti's Avatar
    BARi_Bhatti is offline Senior Member+
    Last Online
    2nd June 2011 @ 05:03 PM
    Join Date
    13 Mar 2009
    Location
    ஐ»»-->
    Gender
    Male
    Posts
    2,738
    Threads
    339
    Credits
    955
    Thanked
    213

    Default

    Quote AtiqRaj29 said: View Post
    Bohot achi Shairing ki hai......

    thank u s ooooo much brother passand karne ka boht shukriyaaa

Page 1 of 2 12 LastLast

Similar Threads

  1. Wasi Shah
    By Akram Naaz in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 6
    Last Post: 30th March 2022, 06:22 AM
  2. wasi shah
    By desikamasutra27 in forum Roman Urdu Poetry
    Replies: 5
    Last Post: 16th February 2022, 04:55 AM
  3. Wasi shah
    By hafizoo7 in forum Design Poetry
    Replies: 1
    Last Post: 16th May 2012, 07:49 PM
  4. wasi shah
    By miao in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 15
    Last Post: 19th July 2010, 11:15 PM
  5. Wasi Shah
    By Desire.libra in forum Urdu Adab & Shayeri
    Replies: 4
    Last Post: 16th February 2010, 12:46 AM

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •