Results 1 to 2 of 2

Thread: PoetrySMS06 (59 SMSs)

  1. #1
    shahid786imran is offline Member
    Last Online
    7th February 2018 @ 06:27 PM
    Join Date
    06 Apr 2009
    Location
    Pakistan, Gujrat
    Age
    37
    Posts
    431
    Threads
    80
    Thanked
    17

    Default PoetrySMS06 (59 SMSs)

    Na Janay Kon C Ada Teri Dil Ko Lubha Gai
    Aur Meri Zindagi Mein Kuch Aisi Jaga Bana Gai
    Poochu Kya Tere Naqsh Tujhsay Ay Mere Habeeb
    Bina Dekhay Hi Ik Tasveer Mere Dil Mein Sama Gai
    ----------
    Ye Zindage Tare Sath Ho,
    Ye Arzoo Din Rat Ho,
    Main Tare Sang Sang Chalon,
    Tu Har Safar Main Mare Sath Ho,
    Main Kanton Pr B Chal Paron,
    Tare Pyar Ke Jb Barsat Ho,
    Kabe Sham Dhale Jb Hum Milen,
    Na Din Dhale Na Rat Ho,
    ----------
    Who Ek Shaks tha jis say mohabbtain thi bohoot
    Khafa howa tu ussay hum say shakitain thi bohoot
    Bohoot aziz thay ussay appna asoul
    humain bi appni ana ki zurortain thi bohoot
    ----------
    Ek Samander hai Mere muqabil hai,
    Ek Qatra hai k mujh say Sambhala nahi jata,
    Ek Umer k Betani hai tere Baghir,
    Ek Lamha hai k mujhe say Guzara nahi Jata,
    ----------
    Mujay Udas Dekh Kar Us Nay Kaha
    Meray Hotay Hoay Thumhain Koi Dukh Nahi Day Sakta
    Lakin Aisa Hi Hoa
    Bad Main Jitnay Dukh Milay Saab Usi K They
    ----------
    Tum se bhot kuch kehna ha magar
    kabhi tum nahin miltay to kabhi alfaz nahin miltay
    ek nai dunya basana chahta hoon magr
    kabi neend nhin aate to kbhi khowab nahi miltay
    ye dorian to mita doon mai ek pal ma magr
    kabhi qadm nhin chalty to kabi rastay nhin miltay
    ----------
    mere sheron ki thi pehchan usi k dam se
    us ko kho kar hue be nam w nishan awara
    ----------
    tum kya jaano mai khuda se kya maangta hoon
    tumhari salam-ti ki hamesha duwa maangta hoon
    ager anjaane me ho jaaye koi tumse khata
    to do mujhe uski saza ye maangta hoon
    ----------
    Apne Hessay ki zindagi to hum ji chuke
    Ab to bus dharkano ka lehaz kerte hai
    kya kahain ye dunia walo ko jo
    Aakhri sans per bhi aitraz kerte hain
    ----------
    wo or dilfaraib or peyara sa ho geya
    Us ka be haal jab se hamara sa ho geya
    Nazdeek tha to Darechay ka CHAND tha
    Wo door keya hwa k SITRA sa ho geya
    ----------
    us k bina aab chup chup rahna aacha lagta ha
    khamoshi sa dard sahna aacha lagta ha
    us se milkar bicher na jayo darti ho
    is liya dor rah kar dori sahna aacha lagta ha
    ----------
    jo ho saky tu isay tanhaion mei parh leyna
    tumhary wasty dil ki kitab lai hoo
    wo aik sawal ju tu ne aj tak nahi pocha
    saja k palkon py us ka jawab lai hoo
    ----------
    dagh gham ka dil se mitaya na gaya
    ham ne lakh caha par bholaya na gaya
    rothana wala se koi ye to poche
    k wo khood rotha ha ya ham sa manaya na gaya
    ----------
    apnay dil ki un afwahon se kaam naa lay
    mujhey yad rakh beshak mera naam na lay
    tera whem hay k hum bhool gay tujh ko
    meri aisi koi sans nahin jo tera naam na lay
    ----------
    ya adai ba naiyazi tujha bewafa mubarak
    aisi bhi barukhi kia k salam tak na pohncha
    ----------
    Roz-e-Shaab Teray Khyaloon Main Gharq Rahta Hoon
    Raat Ko Neand Na Aye To Taroon Say Tera Naam Likh Leta Hoon
    ----------
    yaad karna k liya koi cheez cahiya
    aap nahi to aap ki tasweer cahiya
    par tasweer aap ki hamara dil bahla na sake gi
    kyun k ye aap ki tara muskara na saka ge
    ----------
    main apny zabt ki misal kya doun
    wo mujh sy lipt k roya kise aur k liya
    ----------
    kia kahon apko ko?
    khawab kahon to bikher jaye ga
    dil kahon to toot jaye ga
    sawan kahon to baras jaye ga
    darya kahon to beh jaye ga
    aansu kahon to nikal jaye ga
    chaand kahon to dhal jaye ga
    to phir kio na aap ka naam zindagi rakh doo
    kam se kam mot se pehlay to apka saath na chhoot paye ga
    ----------
    Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai
    humare zakhmo ki dava bhi woh hai
    woh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua
    Muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai
    ----------
    Mat khol mere makan ke udas darwaze
    Hawa ka shor meri uljhane barha dega
    Main khub wakif hu mere pyaar ki fitrat se
    Wo jab dega dard rula dega
    ----------
    Hansna un ki Aadat the
    Hum ghalat Andazay laga Bethay
    Wo Hanstay Hanstay Hanstay Rahay
    Hum apna Aap Gawa Bethay
    ----------
    Her aik Chehray pe dill ko Gumaan us ka tha
    Basa na koi dill ma ye Khali Makan us ka tha
    Tamam Dukh mairi Ankhoo sy mit gaiy
    Jo na mit saka wo Nishan us ka tha
    ----------
    ye kon chal dia maira sher chor ker
    Ankhoon ny rakh dia "DARYA"Nichor ker
    ham sari raat daikhty rahy "CHEHRA" taira
    kabi "SHESHA" toor ker kabi "SHESHA" joar ker
    ----------
    kuch iss liye b tum sy APNAYAT boht hay Muje ko Faraz
    maira tu koi nehi hay tumara tu koi ho.
    ----------
    Aj ki raat mairy dill ki salami lay lay
    kal tairi bazam sy Diwana chala jaiy ga
    Shama reh jaiy gi parwana chala jaiy ga
    ----------
    khawb mai b tuje bholon to rawa rakh mujh se wo rawayya
    jo hawa ka kass o khas hak sa hai
    Intni roshan hai teri subah k hota hai guman
    ye ujala to kisi deedae-namnak sa ha
    ----------
    Khaloos-e-dil se milo to saza detay hain log
    Sachay jazbaat b thukra detay hain log
    Dekh nahin saktay do dilon ka milna
    Bethay huway do prinday b ura detay hain log
    ----------
    Yun hi shakh se pattay gira nahin karte
    Bichar k log ziada jiya nahin karte
    Jo aanay wale mausam hain unhein shumar mein rakh
    Jo din guzar gay unhein gina nahin karte
    ----------
    Aankhon mein intizar k lamhaat sonp kar
    Neendein b le gaya koi apne safar k saath
    ----------
    Pehle Mausam hi Badaltay Thay Jahan me Logo
    Ab Irado ki Tarha Loog b Badal Jatay Hain
    ----------
    Jub zandagi samaj i to zandagi say door thay hum
    Marna chaha par jenay par majboor thay hum
    Her saza kabool ke hum nay sar jhuka kar
    Kasoor itna tha k bakasoor thay hum
    ----------
    Ab tu Mehfil se b Hota Nahi Kuch Ghum ka IlaaJ
    Pehle Tanhai b Dukh Baant lia Karti Thi
    ----------
    Wafa ka zakhm hai gehra to koi bat nahi
    Lagaoo be to hame unsa intaha ka hai
    ----------
    Mujh se bichar kar Benaam ho jao ge
    Sodagron k haathon neelam ho jao ge
    Mujhe acha nahin lagta tera har aik se milna
    Her kisi se milo ge to aam ho jao ge
    ----------
    Meri khamoshion ka tum charcha to na karo
    Yun bethe bithay mujhe ruswa to na karo
    kaha jo main ne k dil ki baat hai dil hi kahe ga
    Faqat itni se baat pe mujh se uljha to na karo
    Apni yaadon k Qaaflay rehne do mere saath
    Qasm-e-Ulfat hai mujhe tanha to na karo
    ----------
    Kabhi Fursaten jo Naseeb Hon Chalay aana Tab Mere paas Tum
    Hain Adhuray Kitnay Mamlay Meri Zaat se Teri Zaat Tak
    ----------
    Zindagi Ki Rahoon May Janay Kisay Kaun Mila
    Kisi Ko Hum Na Milay Aur Kohi Humein Na Mila
    ----------
    Log To Majboor Hain Pathar To Maaren Ge Zaroor
    Kyun Na Sheeshon Se Kaha Jaye Ke Toota Na Karo
    ----------
    Main Ne Jis Shaakh Ko Phoolon Se Sajaya Tha Faraz
    Mere Seenay Main Ussi Shaakh Ka Kaanta Utra
    ----------
    Har Gira Ghungat Haya Ka Nhi Hota
    Har Utha Hath Dua Ka Nhi Hota
    Bujh Jate He Aksr Diye Hamri Hi Galtiyo Se
    Hr Bar Kasur Hawao Ka Nhi Hota
    ----------
    Be-Naam Zindagi ki Haqeqat na Puchiye Faraz
    Kuch Pur-Khaloos Loog Thay,Barbaad Kar Gaye
    ----------
    khamosh lehje mere hamdam kabhi bola nahi kerte
    drd-o-ghm ko hr kisi k samne khola nahe krte
    Muhbt to muhbt hai bri inmol hoti hai
    Muhbt ko tarazo mei tola nahe kerte
    Mere khamosh rehni per koi ilzam mt dena
    smnder to smnder hain kabhi bola nahi kerte
    ----------
    palkon pe apni bithaya hai tumeh
    Bohut dino k bad paya hai tumeh
    itni asani se nahi milay ho tum
    dunya ke nazron se churaya hai tumeh
    ----------
    Mohabbat, Chahat, Wafa kuch b nahin
    Zindagi gham k siwa kuch b nahin
    App k pass mere siwa sab kuch hai
    Mere pass app k siwa kuch b nahin.
    ----------
    Tum se milon to ye kehna chahon
    Main her pal tere saath rehna chahon
    Saye ka kya bhrosa suraj dhalay to chup jaye
    Main to ban kar lahoo teri ragon mein behna chahon
    ----------
    Kitni jaldi her mulaqat guzar jati hai
    piyas bujti nahi barsat guzer jati hai
    Apni yadon se keh do es tara na aya karan
    neend aati nahi uor raat guzer jati hai
    ----------
    Guftago achi lagi zoqei-nazar acha laga
    mudattoo k bad koi hamsafer acha laga
    zindgi ke basarosamanio k bawajood
    aaj to aya to mujh ko apna gher acha laga
    manzalon ke bat choro kis ne payee manzalen
    ik safar acha laga ik hamsafer acha mila
    ----------
    her mord pe mil jatay hain humdard mujh ko
    shayed meary mohallay mein hain fankaar bohat hain
    ----------
    Yeh Wafa un Dino Ki baat hai Faraz
    Jub Log Sachay or Makan Kachay hua kerte thay
    ----------
    As Dekh Dil Ki Nagri Hai Udas Tere Bin
    Bujhti nahi hai Ankhon Ki Piyas Tere Bin
    Zindagi to Anso ka Selab Hai
    Karon kese Khusyuon ko Talsah Tere Bin
    ----------
    suno! ik such suna hm ne!! muhabbat mar nhi sakti,

    mgar mukammal such to ye hai k muhabbat khud nhi marti...

    muhabbat maar deti hai...!!
    ----------
    Bhool kar b agar hum se koi bhool ho jaye to
    Use bhool samajh kar bhool jana
    Bhoolna sirf bhool ko
    Bhool kar b na humay bhool jana
    ----------
    Kabhi lafz bhool jaon kabhi baat bhool jaon
    Tujhe is qadar chahon apni zaat bhool jaon
    kabhi jo uth kar tere pass se main chal doon
    Jate huway khud ko tere pass bhool jaon
    ----------
    Use main yaad aata hon magar fursat k lamhon mein
    Magar ye b haqeeqat hai use fursat nahin milti
    ----------
    Aansuon ko aankhon ki dehleez pe laya na karo
    apne dil ki halat kisi ko bataya na karo
    log mutthi bhar namak liye phirte hain
    apne zakhm kisi ko dikhaya na karo
    ----------
    tu masiha hai to aa mujhe achha kar de
    rage sehra hun mujhe dariya kar de
    ranjishe rabt-o-marasim main to hoti hain magar
    tujhe ye kis ne kaha tha mujhe tanha kar de
    ----------
    Ab k baar milo gay to khoob rulain gay tumhain
    suna hai tumhain rotay main lipat janay ki adat hai
    ----------
    Dil ki baat labo pe la k ab tak hum dukh sehte hai
    Hum ne suna tha is basti mein dil wale b rehte hai
    Beet gaya sawan ka maheena maosam ne nazre badli
    Lekin in pyasi ankho se ab tak aansu behte hai
    Aik hume aawara kehna koi bara ilzam nahi
    Dunya wale dil walo ko aur bahut kuch kehte hai
    ----------

  2. #2
    Aasi_786's Avatar
    Aasi_786 is offline Advance Member
    Last Online
    2nd February 2024 @ 10:00 PM
    Join Date
    14 Jan 2008
    Location
    Islamabad
    Posts
    19,001
    Threads
    2012
    Credits
    1,386
    Thanked
    1109

    Default

    Very nice work

Similar Threads

  1. PoetrySMS10 (60 SMSs)
    By shahid786imran in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 9
    Last Post: 22nd February 2020, 05:39 AM
  2. PoetrySMS09 (60 SMSs)
    By shahid786imran in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 13
    Last Post: 21st September 2015, 12:43 PM
  3. PoetrySMS10 (60 SMSs)
    By shahid786imran in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 1
    Last Post: 5th December 2009, 09:44 PM
  4. PoetrySMS11 (60 SMSs)
    By shahid786imran in forum SMS/MMS/EMS/SMSc
    Replies: 1
    Last Post: 3rd December 2009, 05:48 PM
  5. New SMSs
    By shahid786imran in forum General Discussion
    Replies: 3
    Last Post: 14th May 2009, 04:02 PM

Tags for this Thread

Bookmarks

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •